farhad nahin majnun ranjha bhi nahin hun
farhād nahīñ majnūñ rāñjhā bhī nahīñ huuñ
huuñ ishq kā maarā magar itnā bhī nahīñ huuñ
kyoñ tanz kase haiñ mire kirdār pe ai dost
gar achchhā nahīñ huuñ tire jaisā bhī nahīñ huuñ
vo aa.eñ to samjheñ ki mirā haal burā hai
maiñ is liye ghar apnā sajātā bhī nahīñ huuñ
badnām mujhe kar ke vo mash.hūr hue haiñ
so is liye mahfil meñ maiñ jaatā bhī nahīñ huuñ
kyoñ dekh ke hañstā hai zamāna mujhe 'shīrāz'
maiñ bhiiḌ nahīñ huuñ to tamāsha bhī nahīñ huuñ
farhad nahin majnun ranjha bhi nahin hun
hun ishq ka mara magar itna bhi nahin hun
kyon tanz kase hain mere kirdar pe ai dost
gar achchha nahin hun tere jaisa bhi nahin hun
wo aaen to samjhen ki mera haal bura hai
main is liye ghar apna sajata bhi nahin hun
badnam mujhe kar ke wo mashhur hue hain
so is liye mahfil mein main jata bhi nahin hun
kyon dekh ke hansta hai zamana mujhe 'shiraaz'
main bhiD nahin hun to tamasha bhi nahin hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.