farishton jaise duniya mein bashar jaldi nahin aate
farishtoñ jaise duniyā meñ bashar jaldī nahīñ aate
ki sachchā.ī ke haamī bhī nazar jaldī nahīñ aate
talāsh-e-rizq meñ kuchh is qadar masrūf rahtā huuñ
mirī bachchī ye kahtī hai ki ghar jaldī nahīñ aate
na ġham kā ġham hai mujh ko ab na ḳhushiyoñ kī ḳhushī mujh ko
ab āñkhoñ meñ bhī ashkoñ ke guhar jaldī nahīñ aate
hamesha dhund sī kyoñ chhā.ī rahtī hai fazāoñ meñ
falak par ab sitāre bhī nazar jaldī nahīñ aate
hamāre rahnumā aksar kareñ da.avā ḳhudā.ī kā
siyāsat ke shajar par ab samar jaldī nahīñ aate
ba-mushkil saañs lete haiñ makāñ ūñche bane itne
ki jhoñke bhī havāoñ ke idhar jaldī nahīñ aate
farishton jaise duniya mein bashar jaldi nahin aate
ki sachchai ke hami bhi nazar jaldi nahin aate
talash-e-rizq mein kuchh is qadar masruf rahta hun
meri bachchi ye kahti hai ki ghar jaldi nahin aate
na gham ka gham hai mujh ko ab na KHushiyon ki KHushi mujh ko
ab aankhon mein bhi ashkon ke guhar jaldi nahin aate
hamesha dhund si kyon chhai rahti hai fazaon mein
falak par ab sitare bhi nazar jaldi nahin aate
hamare rahnuma aksar karen dawa KHudai ka
siyasat ke shajar par ab samar jaldi nahin aate
ba-mushkil sans lete hain makan unche bane itne
ki jhonke bhi hawaon ke idhar jaldi nahin aate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.