fariyaad aur tujhko sitamgar kahe baghair
fariyād aur tujh ko sitamgar kahe baġhair
mānūñ na hashr meñ tire muñh par kahe baġhair
dekho ye rang-e-ruḳh kā shagūfa ki merā 'ishq
zāhir huā hai kahne se baḌh kar kahe baġhair
muñh dekhtā hī rah gayā kahne ko jab gayā
palTā maiñ hālat-e-dil-e-muztar kahe baġhair
pakḌo mirī zabān to sūrat se hoshiyār
kholegī raaz ye sar-e-mahshar kahe baġhair
haklā ke aaj maiñ ne kahā us se apnā shauq
taskīn-e-dil huī na mukarrar kahe baġhair
sunñe ko tum kaho to mire dil kī ek baat
barsoñ se phir rahī hai zabāñ par kahe baġhair
kartā hai har savāl ye hujjat kī mashq vo
koī javāb hī nahīñ kyūñkar kahe baġhair
mā'shūq hī to kitnā hī bad-tar huā is kā jaur
bantī nahīñ hai baat hī behtar kahe baġhair
maanā ki dil shikan thiiñ sar-e-bazm phabtiyāñ
lekin na rah sakā koī mujh par kahe baġhair
maiñ ye samajh gayā ki vo ghar meñ nahīñ hai aaj
darbāñ ne ḳhud hī khol diyā dariyā kahe baġhair
kyā kyā kahe haiñ she'r hasīnoñ ke vasf meñ
kyā 'shauq' ho gayā hai suḳhanvar kahe baġhair
fariyaad aur tujh ko sitamgar kahe baghair
manun na hashr mein tere munh par kahe baghair
dekho ye rang-e-ruKH ka shagufa ki mera 'ishq
zahir hua hai kahne se baDh kar kahe baghair
munh dekhta hi rah gaya kahne ko jab gaya
palTa main haalat-e-dil-e-muztar kahe baghair
pakDo meri zaban to surat se hoshiyar
kholegi raaz ye sar-e-mahshar kahe baghair
hakla ke aaj main ne kaha us se apna shauq
taskin-e-dil hui na mukarrar kahe baghair
sunne ko tum kaho to mere dil ki ek baat
barson se phir rahi hai zaban par kahe baghair
karta hai har sawal ye hujjat ki mashq wo
koi jawab hi nahin kyunkar kahe baghair
ma'shuq hi to kitna hi bad-tar hua is ka jaur
banti nahin hai baat hi behtar kahe baghair
mana ki dil shikan thin sar-e-bazm phabtiyan
lekin na rah saka koi mujh par kahe baghair
main ye samajh gaya ki wo ghar mein nahin hai aaj
darban ne KHud hi khol diya dariya kahe baghair
kya kya kahe hain she'r hasinon ke wasf mein
kya 'shauq' ho gaya hai suKHanwar kahe baghair
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.