fariyaad kije kucha-e-dildar ki taraf
fariyaad kije kucha-e-dildar ki taraf
Raja Girdhari Parsad Baqi
MORE BYRaja Girdhari Parsad Baqi
fariyād kiije kūcha-e-dildār kī taraf
bulbul pukārtī rahī gulzār kī taraf
farmā diye ki qatl kā kis ke hai aaj qasd
har dam nazar jo paḌtī hai talvār kī taraf
fānūs meñ charāġh ko aisā kahāñ faroġh
dekho to us ke burqā-o-ruḳhsār kī taraf
fattānī jis ne dekhī hai us chashm-e-shoḳh kī
dekhī kabhī na nargis-e-bīmār kī taraf
furqat meñ gul kī bulbul-e-shaidā chaman meñ aaj
hasrat se dekhtā hai bahut ḳhaar kī taraf
favvāre chhūTte haiñ mizha se sarishk ke
dekho to merī chashm-e-guhar-bār kī taraf
faaqa qubūl minnat-e-duniyā nahīñ qubūl
sag ho to mail ho use murdār kī taraf
fart-e-hujūm-e-ḳhalq se hoñ band rāste
vo rashk-e-yūsuf aa.e jo bāzār kī taraf
farhād kī vo tesha-zanī kā bañdhā ḳhayāl
sar maiñ ne phoḌā dekhiye kohsār kī taraf
fasl-e-bahār aa.ī hai sayyād chhoḌ de
yā le ke chal qafas hī ko gulzār kī taraf
fardā-e-roz-e-hashr se 'bāqī' maiñ kyoñ Darūñ
ġhaffār hogā mujh se gunahgār kī taraf
fariyaad kije kucha-e-dildar ki taraf
bulbul pukarti rahi gulzar ki taraf
farma diye ki qatl ka kis ke hai aaj qasd
har dam nazar jo paDti hai talwar ki taraf
fanus mein charagh ko aisa kahan farogh
dekho to us ke burqa-o-ruKHsar ki taraf
fattani jis ne dekhi hai us chashm-e-shoKH ki
dekhi kabhi na nargis-e-bimar ki taraf
furqat mein gul ki bulbul-e-shaida chaman mein aaj
hasrat se dekhta hai bahut KHar ki taraf
fawware chhuTte hain mizha se sarishk ke
dekho to meri chashm-e-guhar-bar ki taraf
faqa qubul minnat-e-duniya nahin qubul
sag ho to mail ho use murdar ki taraf
fart-e-hujum-e-KHalq se hon band raste
wo rashk-e-yusuf aae jo bazar ki taraf
farhad ki wo tesha-zani ka bandha KHayal
sar main ne phoDa dekhiye kohsar ki taraf
fasl-e-bahaar aai hai sayyaad chhoD de
ya le ke chal qafas hi ko gulzar ki taraf
farda-e-roz-e-hashr se 'baqi' main kyon Darun
ghaffar hoga mujh se gunahgar ki taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.