Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

fariyaad shikasta hai aawaz shikasta hai

Shareef Ahmad Qureshi

fariyaad shikasta hai aawaz shikasta hai

Shareef Ahmad Qureshi

MORE BYShareef Ahmad Qureshi

    fariyād shikasta hai āvāz shikasta hai

    ġhamgīn hai har naġhma har saaz shikasta hai

    kyā ye bhī zarūrī hai anjām shikasta ho

    jis kaam ai himmat āġhāz shikasta hai

    kis vaqt qafas ke dar sayyād ne khole haiñ

    jab vā.e-nasīb apnī parvāz shikasta hai

    qurbān thī kal jis par rif.at bhī sitāroñ

    kyoñ aaj vahī ham-dam shahbāz shikasta hai

    pahuñchegā bhalā kaise vo apnī bulandī tak

    jis murġh-e-gulistāñ parvāz shikasta hai

    kahne ko to maiñ apne siine meñ chhupā.e huuñ

    ai dost haqīqat meñ har raaz shikasta hai

    arbāb-e-samā.at kyoñ aañkh na bhar aa.e

    is dard bhare dil āvāz shikasta hai

    kaise ho 'sharīf' apnī har ek ġhazal achchhī

    taḳh.īl hai afsurda parvāz shikasta hai

    fariyaad shikasta hai aawaz shikasta hai

    ghamgin hai har naghma har saz shikasta hai

    kya ye bhi zaruri hai anjam shikasta ho

    jis kaam ka ai himmat aaghaz shikasta hai

    kis waqt qafas ke dar sayyaad ne khole hain

    jab wae-nasib apni parwaz shikasta hai

    qurban thi kal jis par rifat bhi sitaron ki

    kyon aaj wahi ham-dam shahbaz shikasta hai

    pahunchega bhala kaise wo apni bulandi tak

    jis murgh-e-gulistan ki parwaz shikasta hai

    kahne ko to main apne sine mein chhupae hun

    ai dost haqiqat mein har raaz shikasta hai

    arbab-e-samaat ki kyon aankh na bhar aae

    is dard bhare dil ki aawaz shikasta hai

    kaise ho 'sharif' apni har ek ghazal achchhi

    taKHil hai afsurda parwaz shikasta hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now