farman-bardar hain is shahr ki sari aankhen
farmāñ-bardār haiñ is shahr kī saarī āñkheñ
kyā qayāmat haiñ mire yaar tumhārī āñkheñ
ik tirī diid se is ghar meñ ujālā hogā
ek muddat se haiñ betāb bichārī āñkheñ
ab ke is des mohabbat kā baḌā qaht paḌā
dil hai kaasa kisī muflis kā bhikārī āñkheñ
band thā rāsta aTkī thī mirī saañs kī Dor
uf kisī aañkh se phir maiñ ne guzārī āñkheñ
jab mayassar na thī mai mai-kade pāband hue
ruup meñ yaar ke allah ne utārī āñkheñ
maiñ tirā raqs tire shahr meñ aa kar dekhūñ
mujh ko bhī chāhiye do-chār bazārī āñkheñ
farman-bardar hain is shahr ki sari aankhen
kya qayamat hain mere yar tumhaari aankhen
ek teri did se is ghar mein ujala hoga
ek muddat se hain betab bichaari aankhen
ab ke is des mohabbat ka baDa qaht paDa
dil hai kasa kisi muflis ka bhikari aankhen
band tha rasta aTki thi meri sans ki Dor
uf kisi aankh se phir main ne guzari aankhen
jab mayassar na thi mai mai-kade paband hue
rup mein yar ke allah ne utari aankhen
main tera raqs tere shahr mein aa kar dekhun
mujh ko bhi chahiye do-chaar bazari aankhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.