farogh-e-sozish-e-hindostan hun
faroġh-e-sozish-e-hindostāñ huuñ
mazāq-e-himmat-e-dard-e-jahāñ huuñ
ġham-e-ālam meñ garche nīm-jāñ huuñ
jahāñ meñ bā.is-e-zauq-e-jahāñ huuñ
azādār-e-ġham-e-insāñ huā huuñ
maiñ sham.a-e-kushta-e-ġham kā dhuāñ huuñ
har-ik ke ġham meñ aisā kho gayā huuñ
miyān-e-sham.a-e-hastī soz-e-jāñ huuñ
yahāñ par mashriq-o-maġhrib kahāñ haiñ
yahī ab sochtā huuñ maiñ kahāñ huuñ
jinheñ manzil ġhubār-e-kārvāñ hai
maiñ aise qāfiloñ ke darmiyāñ huuñ
mirī miTTī meñ bhī zauq-e-vatan hai
maiñ miT kar bhī sharīk-e-kārvāñ huuñ
jahāñ ke zauq meñ be-ḳhud huā huuñ
naqīb-e-zauq fardā-e-jahāñ huuñ
jahāñ imkān-e-had-bandī nahīñ hai
varā-e-hadd-e-imkān-e-jahāñ huuñ
farogh-e-sozish-e-hindostan hun
mazaq-e-himmat-e-dard-e-jahan hun
gham-e-alam mein garche nim-jaan hun
jahan mein bais-e-zauq-e-jahan hun
azadar-e-gham-e-insan hua hun
main shama-e-kushta-e-gham ka dhuan hun
har-ik ke gham mein aisa kho gaya hun
miyan-e-shama-e-hasti soz-e-jaan hun
yahan par mashriq-o-maghrib kahan hain
yahi ab sochta hun main kahan hun
jinhen manzil ghubar-e-karwan hai
main aise qafilon ke darmiyan hun
meri miTTi mein bhi zauq-e-watan hai
main miT kar bhi sharik-e-karwan hun
jahan ke zauq mein be-KHud hua hun
naqib-e-zauq farda-e-jahan hun
jahan imkan-e-had-bandi nahin hai
wara-e-hadd-e-imkan-e-jahan hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.