farq jab lazzat-e-ehsas mein paya na gaya
farq jab lazzat-e-ehsas mein paya na gaya
Ali Manzoor Hyderabadi
MORE BYAli Manzoor Hyderabadi
farq jab lazzat-e-ehsās meñ paayā na gayā
dard dekhā na gayā tum ko dikhāyā na gayā
chuTkiyāñ kaun ye rah rah ke liye jaatā hai
mere dil meñ to mirī jaañ koī aayā na gayā
lutf yuuñ ranjish-e-be-jā ke liye pahroñ tak
be-sabab rūThne vaale ko manāyā na gayā
ḳhvāb-e-pur-kaif kā manzar bhī nashāt-āvar thā
dost ko is liye kuchh der jagāyā na gayā
man.a kartī jo rahī ḳhanda-jabīnī us kī
dard-e-dil apnā kabhī us ko sunāyā na gayā
ḳhud hañsā vo ye javānī kī karam-baḳhshī hai
ḳhusrav-e-husn ko mujh se to hañsāyā na gayā
de to dī zabt-e-mohabbat kī qasam zālim ne
fā.eda zabt-e-mohabbat kā batāyā na gayā
kab dikhātā hai vo barbādī-e-hasrat kā samāñ
ḳhaak meñ jab mirī hasrat ko milāyā na gayā
raushnī jis kī dikhātī thī mujhe bhuul hī bhuul
us qamar-vash kā vo andāz bhulāyā na gayā
tuur kī puurī tarah yaad dilā.ī na ga.ī
hosh chhīne to ga.e hosh meñ laayā na gayā
un kī mashkūk nazar meñ vo mazā thā manzūr
ki yaqīñ apnī mohabbat kā dilāyā na gayā
farq jab lazzat-e-ehsas mein paya na gaya
dard dekha na gaya tum ko dikhaya na gaya
chuTkiyan kaun ye rah rah ke liye jata hai
mere dil mein to meri jaan koi aaya na gaya
lutf yun ranjish-e-be-ja ke liye pahron tak
be-sabab ruThne wale ko manaya na gaya
KHwab-e-pur-kaif ka manzar bhi nashat-awar tha
dost ko is liye kuchh der jagaya na gaya
mana karti jo rahi KHanda-jabini us ki
dard-e-dil apna kabhi us ko sunaya na gaya
KHud hansa wo ye jawani ki karam-baKHshi hai
KHusraw-e-husn ko mujh se to hansaya na gaya
de to di zabt-e-mohabbat ki qasam zalim ne
faeda zabt-e-mohabbat ka bataya na gaya
kab dikhata hai wo barbaadi-e-hasrat ka saman
KHak mein jab meri hasrat ko milaya na gaya
raushni jis ki dikhati thi mujhe bhul hi bhul
us qamar-wash ka wo andaz bhulaya na gaya
tur ki puri tarah yaad dilai na gai
hosh chhine to gae hosh mein laya na gaya
un ki mashkuk nazar mein wo maza tha manzur
ki yaqin apni mohabbat ka dilaya na gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.