fart-e-nashat un ke gham-e-bekaran mein hai
fart-e-nashāt un ke ġham-e-bekarāñ meñ hai
ye daulat-e-hayāt dil-e-kāmrāñ meñ hai
aisā hai kaun jis ko shaġhaf husn se nahīñ
jalvagarī to husn kī kaun-o-makāñ meñ hai
mahv-e-ḳhirām-e-nāz vo hoñ jis chaman meñ bhī
saarī bahār jaise usī gulsitāñ meñ hai
karnā zarūr hai hameñ raushan charāġh-e-rah
tārīkiyoñ kā saath rah-e-kārvāñ meñ hai
rahmat ḳhudā kī ham pe barastī hai rāt-din
har dam ḳhudā kā shukr zabān-o-bayāñ meñ hai
saare jahān meñ bhī mayassar kahīñ nahīñ
jo rāhat-o-sukūñ mire hindostāñ meñ hai
qaid-e-ġham-e-hayāt se 'bāsir' mafar kahāñ
ye zindagī tamām rah-e-imtihāñ meñ hai
fart-e-nashat un ke gham-e-bekaran mein hai
ye daulat-e-hayat dil-e-kaamran mein hai
aisa hai kaun jis ko shaghaf husn se nahin
jalwagari to husn ki kaun-o-makan mein hai
mahw-e-KHiram-e-naz wo hon jis chaman mein bhi
sari bahaar jaise usi gulsitan mein hai
karna zarur hai hamein raushan charagh-e-rah
tarikiyon ka sath rah-e-karwan mein hai
rahmat KHuda ki hum pe barasti hai raat-din
har dam KHuda ka shukr zaban-o-bayan mein hai
sare jahan mein bhi mayassar kahin nahin
jo rahat-o-sukun mere hindostan mein hai
qaid-e-gham-e-hayat se 'basir' mafar kahan
ye zindagi tamam rah-e-imtihan mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.