farz jo hai ada nahin karte
farz jo hai adā nahīñ karte
ham pe vo bhī jafā nahīñ karte
zindagī kī tarah se rakhte haiñ
ġham ko dil se judā nahīñ karte
jo taḌap kar na dil ko taḌpā.eñ
dil meñ vo ġham rahā nahīñ karte
ham zamāne ke zulm-e-be-jā par
koī shikva-gila nahīñ karte
jo kisī daur meñ na pūchheñ haal
vo to apne huā nahīñ karte
saarī duniyā kā mānte haiñ kahā
sirf merā kahā nahīñ karte
hoñ vo apne ki 'shād' begāne
ham kisī ko ḳhafā nahīñ karte
farz jo hai ada nahin karte
hum pe wo bhi jafa nahin karte
zindagi ki tarah se rakhte hain
gham ko dil se juda nahin karte
jo taDap kar na dil ko taDpaen
dil mein wo gham raha nahin karte
hum zamane ke zulm-e-be-ja par
koi shikwa-gila nahin karte
jo kisi daur mein na puchhen haal
wo to apne hua nahin karte
sari duniya ka mante hain kaha
sirf mera kaha nahin karte
hon wo apne ki 'shad' begane
hum kisi ko KHafa nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.