farzane to zom-e-KHirad mein aap apne sayyaad hue
farzane to zom-e-KHirad mein aap apne sayyaad hue
Mansha ur Rahman Khan Mansha
MORE BYMansha ur Rahman Khan Mansha
farzāne to zo'm-e-ḳhirad meñ aap apne sayyād hue
qaid-e-zamāñ aur band makāñ se dīvāne āzād hue
chāñd sitāroñ kī duniyā meñ kyā raunaq hai kyā halchal
shukr hai apne josh-e-junūñ se vīrāne ābād hue
ishq ke hāthoñ kaise kaise log hue haiñ ḳhāk-basar
kyā batlā.eñ is fitne se kitne ghar barbād hue
kaun hai jo is raaz ko samjhe kis ko ham ye baat batā.eñ
tere ġham kī daulat pā kar ham kitne dil-shād hue
saare jahāñ meñ aam haiñ jin kī ma.asūmiyyat ke charche
shaan ḳhudā kī apne haq meñ log vahī jallād hue
un kī mahfil saaz bhī un ke un kā zamāna un kī bahār
un ke naale naġhme Thahre giit apne fariyād hue
barsoñ sher-o-suḳhan kī ḳhātir ḳhūn-e-dil se kaam liyā
'mīr' se shā.ir tab ai 'manshā' is fan meñ ustād hue
farzane to zo'm-e-KHirad mein aap apne sayyaad hue
qaid-e-zaman aur band makan se diwane aazad hue
chand sitaron ki duniya mein kya raunaq hai kya halchal
shukr hai apne josh-e-junun se virane aabaad hue
ishq ke hathon kaise kaise log hue hain KHak-basar
kya batlaen is fitne se kitne ghar barbaad hue
kaun hai jo is raaz ko samjhe kis ko hum ye baat bataen
tere gham ki daulat pa kar hum kitne dil-shad hue
sare jahan mein aam hain jin ki masumiyyat ke charche
shan KHuda ki apne haq mein log wahi jallad hue
un ki mahfil saz bhi un ke un ka zamana un ki bahaar
un ke nale naghme Thahre git apne fariyaad hue
barson sher-o-suKHan ki KHatir KHun-e-dil se kaam liya
'mir' se shair tab ai 'mansha' is fan mein ustad hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.