fasad karte hue har kisi se bhul hui
fasād karte hue har kisī se bhuul huī
hasad meñ Duub chuke aadmī se bhuul huī
hasīn hoñT pe rakkhā hasīn til us ne
banāne vaale se kyā sādgī se bhuul huī
jo tū khaḌī thī to pachchhim kī or taktā rahā
tujhe nihār ke sūraj-mukhī se bhuul huī
javān laash pe dekhā jo chaudhvīñ kā chāñd
ḳhudā qasam ye lagā chāñdnī se bhuul huī
ye ashk bahte rahe sab ġhazal samajhte rahe
mujhe parakhne meñ sach-much sabhī se bhuul huī
fasad karte hue har kisi se bhul hui
hasad mein Dub chuke aadmi se bhul hui
hasin honT pe rakkha hasin til us ne
banane wale se kya sadgi se bhul hui
jo tu khaDi thi to pachchhim ki or takta raha
tujhe nihaar ke suraj-mukhi se bhul hui
jawan lash pe dekha jo chaudhwin ka chand
KHuda qasam ye laga chandni se bhul hui
ye ashk bahte rahe sab ghazal samajhte rahe
mujhe parakhne mein sach-much sabhi se bhul hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.