fasana-ha-e-shab-e-gham hai dastan meri
fasāna-hā-e-shab-e-ġham hai dāstāñ merī
ga.ī na aah kabhī sū-e-āsmāñ merī
likhā huā thā muqaddar meñ jīte-jī marnā
chhupī huī thī kahīñ marg-e-nā-gahāñ merī
jahāñ pe ḳhūn-e-shahīdāñ thā qarz miTTī par
usī dayār meñ hai gor-e-be-nishāñ merī
charāġh-e-shab kī tarah soz-e-ġham ke mahshar meñ
na-jāne kaise ga.ī umr rā.egāñ merī
mizāj-e-husn hai 'barham' nigār-ḳhāne meñ
huī hai tarz-e-takallum bhī be-zabāñ merī
talāsh-e-yār meñ dīda-o-dil bhī ibrat haiñ
luTā ga.e haiñ kahīñ par matā-e-jāñ merī
vo shoḳh-e-nāz gulāboñ se khelne vaale
hañsī hañsī meñ uḌā le ga.e fuġhāñ merī
sabā ne chheḌ diye sāz-e-dil mohabbat ke
kalī kalī ke laboñ par hai dāstāñ merī
churā ke le ga.ī saare hī raaz gulshan ke
vahī sabā thī muqaddar meñ rāz-dāñ merī
ulajh paḌā hai vo qātil bhī be-sabab ham se
ḳhudā bachā.e kahīñ le na le vo jaañ merī
koī nahīñ hai jo is zindagī kā mehvar ho
bhaTak rahī hai azal se kahāñ kahāñ merī
uThā janāza to kohrām mach gayā 'barham'
sañbhal ke le ga.e miTTī sī mehrbāñ merī
fasana-ha-e-shab-e-gham hai dastan meri
gai na aah kabhi su-e-asman meri
likha hua tha muqaddar mein jite-ji marna
chhupi hui thi kahin marg-e-na-gahan meri
jahan pe KHun-e-shahidan tha qarz miTTi par
usi dayar mein hai gor-e-be-nishan meri
charagh-e-shab ki tarah soz-e-gham ke mahshar mein
na-jaane kaise gai umr raegan meri
mizaj-e-husn hai 'barham' nigar-KHane mein
hui hai tarz-e-takallum bhi be-zaban meri
talash-e-yar mein dida-o-dil bhi ibrat hain
luTa gae hain kahin par mata-e-jaan meri
wo shoKH-e-naz gulabon se khelne wale
hansi hansi mein uDa le gae fughan meri
saba ne chheD diye saz-e-dil mohabbat ke
kali kali ke labon par hai dastan meri
chura ke le gai sare hi raaz gulshan ke
wahi saba thi muqaddar mein raaz-dan meri
ulajh paDa hai wo qatil bhi be-sabab hum se
KHuda bachae kahin le na le wo jaan meri
koi nahin hai jo is zindagi ka mehwar ho
bhaTak rahi hai azal se kahan kahan meri
uTha janaza to kohram mach gaya 'barham'
sanbhal ke le gae miTTi si mehrban meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.