fasana ishq ka wo is tarah dohrae jate hain
fasana ishq ka wo is tarah dohrae jate hain
Abdul Majeed Dard Bhopali
MORE BYAbdul Majeed Dard Bhopali
fasāna ishq kā vo is tarah dohrā.e jaate haiñ
zabāñ ḳhāmosh hai nazroñ se kuchh samjhā.e jaate haiñ
kisī ne be-ruḳhī samjhā koī lutf-o-karam samjhā
kuchh is andāz se mahfil meñ vo sharmā.e jaate haiñ
kahīñ aisā na ho yā-rab mirī tauba pe ban aa.e
ye bādal aaj ghir ghir kar mujhe bahkā.e jaate haiñ
mujhe ab dil kī dhaḌkan se yahī mahsūs hotā hai
tamannāoñ kī duniyā meñ vo jaise aa.e jaate haiñ
qafas achchhā hai aise āshiyāñ se ai chaman vaalo
jahāñ zulm-o-sitam har vaqt ham par Dhaa.e jaate haiñ
qadam chūmegī un ke kāmyābī ek din baḌh kar
safīna apnā jo tūfān se Takrā.e jaate haiñ
vufūr-e-shauq meñ ai 'dard' merā ab ye aalam hai
jidhar nazreñ uThātā huuñ vahīñ vo paa.e jaate haiñ
fasana ishq ka wo is tarah dohrae jate hain
zaban KHamosh hai nazron se kuchh samjhae jate hain
kisi ne be-ruKHi samjha koi lutf-o-karam samjha
kuchh is andaz se mahfil mein wo sharmae jate hain
kahin aisa na ho ya-rab meri tauba pe ban aae
ye baadal aaj ghir ghir kar mujhe bahkae jate hain
mujhe ab dil ki dhaDkan se yahi mahsus hota hai
tamannaon ki duniya mein wo jaise aae jate hain
qafas achchha hai aise aashiyan se ai chaman walo
jahan zulm-o-sitam har waqt hum par Dhae jate hain
qadam chumegi un ke kaamyabi ek din baDh kar
safina apna jo tufan se Takrae jate hain
wufur-e-shauq mein ai 'dard' mera ab ye aalam hai
jidhar nazren uThata hun wahin wo pae jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.