fasana jaur-e-behad ka kabhi dohra nahin sakta
fasana jaur-e-behad ka kabhi dohra nahin sakta
Mahir Qureshi Barelvi
MORE BYMahir Qureshi Barelvi
fasāna jaur-e-behad kā kabhī dohrā nahīñ saktā
karam harf-e-shikāyat ban ke lab par aa nahīñ saktā
mire soz-e-nihāñ kā raaz koī pā nahīñ saktā
jo dil mahsūs kartā hai zabāñ par aa nahīñ saktā
agar chāhūñ to jal jaa.e ishāre meñ naqāb un kā
magar maiñ ātish-e-dīdār ko bhaḌkā nahīñ saktā
mirī fariyād kī har lai ba-unvān-e-tarannum hai
na samjhe koī maiñ ishrat kā naġhma gā nahīñ saktā
agar hai shauq-e-nazzāra mazāq-e-dīd paidā kar
baġhair-e-shauq-e-behad vo nazar meñ aa nahīñ saktā
samajh leñ bahr-e-tūfāñ-ḳhez kī nā-āshnā maujeñ
dil-e-sāhil-talab ko ab Duboyā jā nahīñ saktā
hañse koī koī ro.e ye apnī apnī fitrat hai
magar 'māhir' kā dil ġham se kabhī ghabrā nahīñ saktā
fasana jaur-e-behad ka kabhi dohra nahin sakta
karam harf-e-shikayat ban ke lab par aa nahin sakta
mere soz-e-nihan ka raaz koi pa nahin sakta
jo dil mahsus karta hai zaban par aa nahin sakta
agar chahun to jal jae ishaare mein naqab un ka
magar main aatish-e-didar ko bhaDka nahin sakta
meri fariyaad ki har lai ba-unwan-e-tarannum hai
na samjhe koi main ishrat ka naghma ga nahin sakta
agar hai shauq-e-nazzara mazaq-e-did paida kar
baghair-e-shauq-e-behad wo nazar mein aa nahin sakta
samajh len bahr-e-tufan-KHez ki na-ashna maujen
dil-e-sahil-talab ko ab Duboya ja nahin sakta
hanse koi koi roe ye apni apni fitrat hai
magar 'mahir' ka dil gham se kabhi ghabra nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.