fasana kaise likhun ashk-bar aankhon ka
fasāna kaise likhūñ ashk-bār āñkhoñ kā
fasurda rang hai manzar hasīn jhīloñ kā
nizām-e-nau se ye ujrat savāl kartī hai
pasīna ḳhushk hai mazdūr kī jabīnoñ kā
maiñ ḳhvāhishāt kā malbūs pahne baiThā huuñ
bahut 'ajīb sā manzar hai zard pattoñ kā
payām bād-e-sabā ne sunā diyā aisā
shagufta ho gayā pal meñ mizāj zaḳhmoñ kā
na-jāne kaun sī manzil kī justujū meñ 'adīm'
fazā meñ uḌtā huā ġhol hai parindoñ kā
fasana kaise likhun ashk-bar aankhon ka
fasurda rang hai manzar hasin jhilon ka
nizam-e-nau se ye ujrat sawal karti hai
pasina KHushk hai mazdur ki jabinon ka
main KHwahishat ka malbus pahne baiTha hun
bahut 'ajib sa manzar hai zard patton ka
payam baad-e-saba ne suna diya aisa
shagufta ho gaya pal mein mizaj zaKHmon ka
na-jaane kaun si manzil ki justuju mein 'adim'
faza mein uDta hua ghol hai parindon ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.