Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

fasane jaan-nawardi ke raqam hote rahenge

Ghalib Doraib

fasane jaan-nawardi ke raqam hote rahenge

Ghalib Doraib

MORE BYGhalib Doraib

    fasāne jāñ-navardī ke raqam hote raheñge

    so ham jaisoñ ke yūñhī sar qalam hote raheñge

    tumhārā hijr murjhā degā ham jaisoñ ko lekin

    tumhārī yaad se ham tāza-dam hote raheñge

    bahut rote raheñge ham bhī un ik nazar ko

    magar auroñ pe un ke karam hote raheñge

    yūñhī qaa.em rahegī raunaq-e-mahfil tumhārī

    yūñhī paidā yahāñ par ahl-e-ġham hote raheñge

    yūñhī karte raheñge roz-o-shab ham ġham-gusārī

    ġham-e-daurāñ ġham-e-hijrāñ baham hote raheñge

    tumhārī nāz-bardārī ko yūñhī shāhzādī

    ham aise shāhzādoñ ke janam hote raheñge

    'doraib' is mahfil-e-duniyā meñ kuchh ho nahīñ ho

    hamāre tazkire to besh-o-kam hote raheñge

    fasane jaan-nawardi ke raqam hote rahenge

    so hum jaison ke yunhi sar qalam hote rahenge

    tumhaara hijr murjha dega hum jaison ko lekin

    tumhaari yaad se hum taza-dam hote rahenge

    bahut rote rahenge hum bhi un ki ek nazar ko

    magar auron pe hi un ke karam hote rahenge

    yunhi qaem rahegi raunaq-e-mahfil tumhaari

    yunhi paida yahan par ahl-e-gham hote rahenge

    yunhi karte rahenge roz-o-shab hum gham-gusari

    gham-e-dauran gham-e-hijran baham hote rahenge

    tumhaari naz-bardari ko yunhi shahzadi

    hum aise shahzadon ke janam hote rahenge

    'doraib' is mahfil-e-duniya mein kuchh ho ya nahin ho

    hamare tazkire to besh-o-kam hote rahenge

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now