fasil-e-jaan mein Dar bandhe hue hain
fasīl-e-jāñ meñ Dar bāñdhe hue haiñ
ye kis ne bām-o-dar bāñdhe hue haiñ
parinde jānte haiñ ab bhī uḌnā
qafas ne bāl-o-par bāñdhe hue haiñ
ye kis anjān manzil ke haiñ raahī
jo paañv meñ safar bāñdhe hue haiñ
bahāroñ se kahāñ sarsabz hoñge
ḳhizāoñ ne shajar bāñdhe hue haiñ
'nadīm' un se to ḳhud hai maut larzāñ
hathelī pe jo sar bāñdhe hue haiñ
fasil-e-jaan mein Dar bandhe hue hain
ye kis ne baam-o-dar bandhe hue hain
parinde jaante hain ab bhi uDna
qafas ne baal-o-par bandhe hue hain
ye kis anjaan manzil ke hain rahi
jo panw mein safar bandhe hue hain
bahaaron se kahan sarsabz honge
KHizaon ne shajar bandhe hue hain
'nadim' un se to KHud hai maut larzan
hatheli pe jo sar bandhe hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.