fasil-e-shahr se niklo bhala isi mein hai
fasīl-e-shahr se niklo bhalā isī meñ hai
ki zalzaloñ kī hukūmat galī galī meñ hai
diyā kahīñ bhī jalānā mujhe ḳhabar karnā
mire lahū kā ujālā bhī raushnī meñ hai
vo muskurā ke ḳhudā kā patā batātā hai
na jaane kaun sā jaadū us aadmī meñ hai
chalā huuñ maut ke paikar ko qatl karne magar
ye vasf-e-ḳhās to ḳhud merī zindagī meñ hai
darīche apne khule rakhnā shab ke pichhle pahar
sunā hai 'ishq kā andāz chāñdnī meñ hai
fasil-e-shahr se niklo bhala isi mein hai
ki zalzalon ki hukumat gali gali mein hai
diya kahin bhi jalana mujhe KHabar karna
mere lahu ka ujala bhi raushni mein hai
wo muskura ke KHuda ka pata batata hai
na jaane kaun sa jadu us aadmi mein hai
chala hun maut ke paikar ko qatl karne magar
ye wasf-e-KHas to KHud meri zindagi mein hai
dariche apne khule rakhna shab ke pichhle pahar
suna hai 'ishq ka andaz chandni mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.