fasil-e-zat-giri qaid se riha hue hum
fasīl-e-zāt-girī qaid se rihā hue ham
ḳhayāl-e-ġhair kī vus.at se āshnā hue ham
hisār-e-lafz meñ aatā na thā malāl-e-darūñ
zabān-e-hāl se āḳhir kahīñ adā hue ham
nazar kareñ vo jo dil par to haiñ vahī ke vahī
kabhī jo aa.ina dekheñ to kyā se kyā hue ham
chaman meñ khīñch ke laa.ī thī justujū jin kī
vo nik.hateñ nahīñ baaqī to lo havā hue ham
ye kis kā zahr-e-judā.ī lahū meñ tairtā hai
hameñ to kuchh bhī nahīñ yaad kab judā hue ham
nihāñ thī sañg meñ ātish ki jal ke ḳhaak hue
na ibtidā bhī huī thī ki intihā hue ham
kahāñ se lā.iye ḳhud ko ki ḳhud ko dekh sakeñ
jab apne-āp se guzre to rūnumā hue ham
fasil-e-zat-giri qaid se riha hue hum
KHayal-e-ghair ki wusat se aashna hue hum
hisar-e-lafz mein aata na tha malal-e-darun
zaban-e-haal se aaKHir kahin ada hue hum
nazar karen wo jo dil par to hain wahi ke wahi
kabhi jo aaina dekhen to kya se kya hue hum
chaman mein khinch ke lai thi justuju jin ki
wo nikhaten nahin baqi to lo hawa hue hum
ye kis ka zahr-e-judai lahu mein tairta hai
hamein to kuchh bhi nahin yaad kab juda hue hum
nihan thi sang mein aatish ki jal ke KHak hue
na ibtida bhi hui thi ki intiha hue hum
kahan se laiye KHud ko ki KHud ko dekh saken
jab apne-ap se guzre to runuma hue hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.