fasl aai gham ki jadu shauq ke chalne lage
fasl aa.ī ġham kī jaadū shauq ke chalne lage
bāġh-e-vahshat ke shajar phir phūlne phalne lage
zindagī merī badal dī barhamī-e-nāz ne
dard ke sāñche meñ lamhāt-e-tarab Dhalne lage
dilbarī ko phir vafā kā imtihāñ manzūr hai
sāya-e-mizhgāñ meñ un ke fitne phir palne lage
fasl-e-gul tū hī batā ye daur kaisā aa gayā
ab to aa.e din chaman meñ āshiyāñ jalne lage
rāz-e-hastī kholtī hai jaise fitrat kī zabāñ
dāstāñ tāroñ kī suniye raat jab Dhalne lage
is se baḌh kar aur kyā mujh ko miTā.eñge ki vo
ḳhud kaf-e-afsos mere haal par malne lage
muskurāyā hai tasavvur meñ ye 'ishrat' kaun aaj
har taraf bazm-e-tamannā meñ diye jalne lage
fasl aai gham ki jadu shauq ke chalne lage
bagh-e-wahshat ke shajar phir phulne phalne lage
zindagi meri badal di barhami-e-naz ne
dard ke sanche mein lamhat-e-tarab Dhalne lage
dilbari ko phir wafa ka imtihan manzur hai
saya-e-mizhgan mein un ke fitne phir palne lage
fasl-e-gul tu hi bata ye daur kaisa aa gaya
ab to aae din chaman mein aashiyan jalne lage
raaz-e-hasti kholti hai jaise fitrat ki zaban
dastan taron ki suniye raat jab Dhalne lage
is se baDh kar aur kya mujh ko miTaenge ki wo
KHud kaf-e-afsos mere haal par malne lage
muskuraya hai tasawwur mein ye 'ishrat' kaun aaj
har taraf bazm-e-tamanna mein diye jalne lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.