fasl-e-bahaar aai ghunche khile chaman mein
fasl-e-bahaar aai ghunche khile chaman mein
Syed Masood Hasan Masood
MORE BYSyed Masood Hasan Masood
fasl-e-bahār aa.ī ġhunche khile chaman meñ
bichhḌe hue musāfir phir aa ga.e vatan meñ
ghir kar sahāb aaya jām-e-sharāb laayā
le kar rabāb aaya mutrib bhī anjuman meñ
bād-e-sahar ḳhirāmāñ har shāḳh-e-gul badāmāñ
bāham haiñ ahd-o-paimāñ nasrīn-o-nastaran meñ
har ġhuncha terā shaidā har gul meñ tū hai paidā
hai terī bū huvaidā har barg-e-yāsman meñ
rindoñ ko hosh terā mastoñ ko josh terā
har-sū ḳharosh terā sahrā meñ aur chaman meñ
un ko jafā kī aadat apnī vafā kī ḳhaslat
vo chaaq apne fan meñ ham taaq apne fan meñ
manzar sukūt-e-ġham kā sahrā meñ jā ke dekho
ġhunchoñ kī muskurāhaT bekār hai chaman meñ
har zarre ke laboñ par hai ik sadā-e-mastī
mīnā-ba-dosh koī aatā hai anjuman meñ
kyoñ ārzūeñ laa.e kyoñ ranj-o-ġham uThā.e
ham kyoñ vatan meñ aa.e jab kuchh nahīñ vatan meñ
āzād thī to us kī parvāz arsh par thī
rūh-e-ravāñ muqayyad kyoñ ho ga.ī badan meñ
roz-e-azal se ham ko nafrat hai iltijā se
matlab kī baat aakar rah jaatī hai dahan meñ
'mas.ūd' hai ye afzal ho mid.hat-e-mohammad
jab tak zabān terī qaa.em rahe dahan meñ
fasl-e-bahaar aai ghunche khile chaman mein
bichhDe hue musafir phir aa gae watan mein
ghir kar sahab aaya jam-e-sharab laya
le kar rabab aaya mutrib bhi anjuman mein
baad-e-sahar KHiraman har shaKH-e-gul badaman
baham hain ahd-o-paiman nasrin-o-nastaran mein
har ghuncha tera shaida har gul mein tu hai paida
hai teri bu huwaida har barg-e-yasman mein
rindon ko hosh tera maston ko josh tera
har-su KHarosh tera sahra mein aur chaman mein
un ko jafa ki aadat apni wafa ki KHaslat
wo chaq apne fan mein hum taq apne fan mein
manzar sukut-e-gham ka sahra mein ja ke dekho
ghunchon ki muskurahaT bekar hai chaman mein
har zarre ke labon par hai ek sada-e-masti
mina-ba-dosh koi aata hai anjuman mein
kyon aarzuen lae kyon ranj-o-gham uThae
hum kyon watan mein aae jab kuchh nahin watan mein
aazad thi to us ki parwaz arsh par thi
ruh-e-rawan muqayyad kyon ho gai badan mein
roz-e-azal se hum ko nafrat hai iltija se
matlab ki baat aakar rah jati hai dahan mein
'masud' hai ye afzal ho midhat-e-mohammad
jab tak zaban teri qaem rahe dahan mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.