fasl-e-bahaar aate hi aalam badal gaya
fasl-e-bahār aate hī 'ālam badal gayā
niklā thā ghar se maiñ ki garebāñ nikal gayā
allah-re barq-e-husn kī ye garm-joshiyāñ
muusā ko hosh bhī na rahā tuur jal gayā
but-ḳhāne kī talāsh meñ vo be-ḳhudī rahī
maiñ do qadam haram se bhī aage nikal gayā
dekhī ga.ī na gor-e-ġharībāñ kī bebasī
guzrā udhar se maiñ to mirā jī dahal gayā
dil meñ na hai umiid na hasrat na aarzū
jo kuchh thā soz-e-ġham se vo sāmān jal gayā
vaqt-e-aḳhīr mujh ko jo hāsil huā sukūn
ahbāb dil meñ samjhe ki ye ab sañbhal gayā
dil meñ bharī huī thī shahādat kī aarzū
qātil ko apne dekh ke 'bismil' machal gayā
fasl-e-bahaar aate hi 'alam badal gaya
nikla tha ghar se main ki gareban nikal gaya
allah-re barq-e-husn ki ye garm-joshiyan
musa ko hosh bhi na raha tur jal gaya
but-KHane ki talash mein wo be-KHudi rahi
main do qadam haram se bhi aage nikal gaya
dekhi gai na gor-e-ghariban ki bebasi
guzra udhar se main to mera ji dahal gaya
dil mein na hai umid na hasrat na aarzu
jo kuchh tha soz-e-gham se wo saman jal gaya
waqt-e-aKHir mujh ko jo hasil hua sukun
ahbab dil mein samjhe ki ye ab sanbhal gaya
dil mein bhari hui thi shahadat ki aarzu
qatil ko apne dekh ke 'bismil' machal gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.