fasl-e-bahaar jaane ye kya gul katar gai
fasl-e-bahār jaane ye kyā gul katar ga.ī
sāġhar guloñ kā ḳhūn-e-anādil se bhar ga.ī
gulzār-e-hast-e-būd meñ aarif kī āgahī
aurāq-e-gul pe sūrat-e-shabnam bikhar ga.ī
hāsil huzūr-e-husn kī sar-mastiyāñ kahāñ
tahzīb-e-asr lauT ke jaane kidhar ga.ī
dānishvaro vo ramz samajhne kī chiiz thī
nazar-e-vafā-shi.ār ḳhatā jo bhī kar ga.ī
ḳhush-baḳht ġharq bahr-e-takalluf meñ ho ga.e
TuuTe hue nasīb kī kashtī guzar ga.ī
gulshan ke dīda-var hī tah-e-dām aa ga.e
jaadū jagā ke ḳhuub nasīm-e-sahar ga.ī
shā.istagī ne ḳhair kā putlā banā diyā
barq-e-fanā bhī husn-e-adā pe Thahar ga.ī
almās-o-la.al bik ga.e mutlaq ḳhazaf ke mol
ab ābrū-e-hikmat-e-sāhab-hunar ga.ī
saaqī ko ḳhaas masnad-e-gul par jo aa.ī niiñd
sar-mastī-e-sharāb-e-ġham-e-mo'atabar ga.ī
itnī thī ik nafas ke tabassum ke dāstāñ
nāzuk kalī thī phuul banī aur bikhar ga.ī
yuuñ to suḳhan kī sūrat-e-ma.anī thī dil-pazīr
ḳhūn-e-jigar se aur haqīqat nikhar ga.ī
tai ho sake ḳhirad se na hastī ke marhale
nākāmiyoñ kī aah mirī kaam kar ga.ī
'bebāk' be-kasī ke hai juz kaun dast-gīr!
mauj-e-nafas hayāt kī jaane kidhar ga.ī
fasl-e-bahaar jaane ye kya gul katar gai
saghar gulon ka KHun-e-anadil se bhar gai
gulzar-e-hast-e-bud mein aarif ki aagahi
auraq-e-gul pe surat-e-shabnam bikhar gai
hasil huzur-e-husn ki sar-mastiyan kahan
tahzib-e-asr lauT ke jaane kidhar gai
danishwaro wo ramz samajhne ki chiz thi
nazar-e-wafa-shiar KHata jo bhi kar gai
KHush-baKHt gharq bahr-e-takalluf mein ho gae
TuTe hue nasib ki kashti guzar gai
gulshan ke dida-war hi tah-e-dam aa gae
jadu jaga ke KHub nasim-e-sahar gai
shaistagi ne KHair ka putla bana diya
barq-e-fana bhi husn-e-ada pe Thahar gai
almas-o-lal bik gae mutlaq KHazaf ke mol
ab aabru-e-hikmat-e-sahab-hunar gai
saqi ko KHas masnad-e-gul par jo aai nind
sar-masti-e-sharab-e-gham-e-mo'atabar gai
itni thi ek nafas ke tabassum ke dastan
nazuk kali thi phul bani aur bikhar gai
yun to suKHan ki surat-e-mani thi dil-pazir
KHun-e-jigar se aur haqiqat nikhar gai
tai ho sake KHirad se na hasti ke marhale
nakaamiyon ki aah meri kaam kar gai
'bebak' be-kasi ke hai juz kaun dast-gir!
mauj-e-nafas hayat ki jaane kidhar gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.