fasl-e-gul aai ajab rang hai maiKHane ka
fasl-e-gul aa.ī ajab rang hai maiḳhāne kā
husn dekhe koī ab shīshe kā paimāne kā
nāseho farz adā ho chukā samjhāne kā
chheḌnā Thiik nahīñ har ghaḌī dīvāne kā
kaun uftāda paḌī ai dil-e-betāb na.ī
kuchh to ma.alūm ho baa.is tire ghabrāne kā
justujū ne tirī ik jā kahīñ rahne na diyā
mujh ko ka.abe hī kā rakkhā na sanam-ḳhāne kā
ḳhāna-e-dil ko ġham-e-yār ne ābād kiyā
kaun pursāñ thā is ujḌe hue kāshāne kā
dil ko ho jaatā hai bāvar ki vo sach kahte haiñ
aisā andāz hai kuchh un ke qasam khāne kā
chupke pī lete haiñ inkār nahīñ karte haiñ
shaiḳh jī suniye adab hai yahī maiḳhāne kā
kyā mazedār thī ulfat kī kahānī merī
sunñe vaalā na milā koī is afsāne kā
manzil-e-ishq ye hai ḳhuub samajh le ai dil
aasrā hai yahāñ apne kā na begāne kā
fikr lāhaq hai dam-e-marg ye vahshī ko tire
jā-nashīñ kis ko kiyā jā.egā vīrāne kā
tāzgī ruuh meñ chehre pe bashāshat aa.ī
vaah kyā kahnā chhalakte hue paimāne kā
roz raushan huā duniyā meñ ujālā phailā
rang badlā na magar mere siyah-ḳhāne kā
laag kī aag hī kambaḳht burī hotī hai
ek anjām huā sham.a kā parvāne kā
josh vo bāda-e-gulgūñ kā vo qulqul kī sadā
lab tak aanā vo chhalakte hue paimāne kā
un kī tasvīr-e-junūñ-ḳhez kā kuchh zikr nahīñ
naam badnām zamāne meñ hai dīvāne kā
sub.h tak jal chuke jāñbāz-e-mohabbat donoñ
sham.a ko ro.eñ ki mātam kareñ parvāne kā
umr itnī to kaTī bāda-kashī meñ 'ishrat'
ab kahāñ jā.eñge dar chhoḌ ke maiḳhāne kā
fasl-e-gul aai ajab rang hai maiKHane ka
husn dekhe koi ab shishe ka paimane ka
naseho farz ada ho chuka samjhane ka
chheDna Thik nahin har ghaDi diwane ka
kaun uftada paDi ai dil-e-betab nai
kuchh to malum ho bais tere ghabrane ka
justuju ne teri ek ja kahin rahne na diya
mujh ko kabe hi ka rakkha na sanam-KHane ka
KHana-e-dil ko gham-e-yar ne aabaad kiya
kaun pursan tha is ujDe hue kashane ka
dil ko ho jata hai bawar ki wo sach kahte hain
aisa andaz hai kuchh un ke qasam khane ka
chupke pi lete hain inkar nahin karte hain
shaiKH ji suniye adab hai yahi maiKHane ka
kya mazedar thi ulfat ki kahani meri
sunne wala na mila koi is afsane ka
manzil-e-ishq ye hai KHub samajh le ai dil
aasra hai yahan apne ka na begane ka
fikr lahaq hai dam-e-marg ye wahshi ko tere
ja-nashin kis ko kiya jaega virane ka
tazgi ruh mein chehre pe bashashat aai
wah kya kahna chhalakte hue paimane ka
roz raushan hua duniya mein ujala phaila
rang badla na magar mere siyah-KHane ka
lag ki aag hi kambaKHt buri hoti hai
ek anjam hua shama ka parwane ka
josh wo baada-e-gulgun ka wo qulqul ki sada
lab tak aana wo chhalakte hue paimane ka
un ki taswir-e-junun-KHez ka kuchh zikr nahin
nam badnam zamane mein hai diwane ka
subh tak jal chuke jaanbaz-e-mohabbat donon
shama ko roen ki matam karen parwane ka
umr itni to kaTi baada-kashi mein 'ishrat'
ab kahan jaenge dar chhoD ke maiKHane ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.