Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

fasl-e-gul aai hawa aur hui

Munshi Thakur Parsad Talib

fasl-e-gul aai hawa aur hui

Munshi Thakur Parsad Talib

MORE BYMunshi Thakur Parsad Talib

    fasl-e-gul aa.ī havā aur huī

    bāġh-e-ālam fazā aur huī

    aañkh saath jo surme ne diyā

    zab.h maḳhlūq-e-ḳhudā aur huī

    aa.ina toḌne se dil TuuTā

    banda-parvar ye ḳhatā aur huī

    hai tap-e-hijr mile sharbat-e-vasl

    kuchh na hogā jo davā aur huī

    ḳhaak jab āshiq-e-vahshī ko milī

    tez-rau bād-e-sabā aur huī

    naza.a meñ pūchhne aa.e haiñ vo haal

    jab qazā aa.ī adā aur huī

    dil ko dekhā jo gunah se tārīk

    ruuh qālib se ḳhafā aur huī

    dast-e-qātil ko rañgā ḳhuuñ ne mire

    surḳh-rū is se hinā aur huī

    qatl-e-'tālib' ko nazar kaafī thī

    mustazād us pe hayā aur huī

    fasl-e-gul aai hawa aur hui

    bagh-e-alam ki faza aur hui

    aankh ka sath jo surme ne diya

    zabh maKHluq-e-KHuda aur hui

    aaina toDne se dil TuTa

    banda-parwar ye KHata aur hui

    hai tap-e-hijr mile sharbat-e-wasl

    kuchh na hoga jo dawa aur hui

    KHak jab aashiq-e-wahshi ko mili

    tez-rau baad-e-saba aur hui

    naza mein puchhne aae hain wo haal

    jab qaza aai ada aur hui

    dil ko dekha jo gunah se tarik

    ruh qalib se KHafa aur hui

    dast-e-qatil ko ranga KHun ne mere

    surKH-ru is se hina aur hui

    qatl-e-'talib' ko nazar kafi thi

    mustazad us pe haya aur hui

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now