fasl-e-gul aai magar chaak-gareban na hue
fasl-e-gul aa.ī magar chāk-garebāñ na hue
log the itne pareshāñ ki pareshāñ na hue
bas yuuñ hī baḌhtī rahī baḌhtī rahī tārīkī
aur kuchh sub.h ke āsār numāyāñ na hue
ham bhī āvāra hī phirte haiñ sabā kī mānind
ham bhī minnat-kash-e-arbāb-e-gulistāñ na hue
terī āvāz kisī ne na sunī ho jaise
ham tirī bazm meñ jis din se ġhazal-ḳhvāñ na hue
jis qadar aaj pareshān hai har ahl-e-nazar
is qadar to tire gesū bhī pareshāñ na hue
kab huā ham ko ġham-e-tīrah-shabī ai 'nashtar'
un kī yādoñ ke diye kab sar-e-mizhgāñ na hue
fasl-e-gul aai magar chaak-gareban na hue
log the itne pareshan ki pareshan na hue
bas yun hi baDhti rahi baDhti rahi tariki
aur kuchh subh ke aasar numayan na hue
hum bhi aawara hi phirte hain saba ki manind
hum bhi minnat-kash-e-arbab-e-gulistan na hue
teri aawaz kisi ne na suni ho jaise
hum teri bazm mein jis din se ghazal-KHwan na hue
jis qadar aaj pareshan hai har ahl-e-nazar
is qadar to tere gesu bhi pareshan na hue
kab hua hum ko gham-e-tirah-shabi ai 'nashtar'
un ki yaadon ke diye kab sar-e-mizhgan na hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.