fasl-e-gul ho ki KHizan sab mein chaTakte aae
fasl-e-gul ho ki ḳhizāñ sab meñ chaTakte aa.e
ham har ik daur ke dāman meñ mahakte aa.e
TuuT jaanā to sitāroñ kā muqaddar Thahrā
ham chamak vaale haiñ chamkeñge chamakte aa.e
jo rivāyat hai azal se vo hai anjām apnā
ahl-e-dil vaqt kī suulī pe laTakte aa.e
kitne ilzām the ta.ane the shikāyat thī bahut
sab usī dar pe magar sar ko paTakte aa.e
ham junūñ vāloñ se kab duur thī manzil 'rāhī'
aql vaale the jo rāhoñ meñ bhaTakte aa.e
fasl-e-gul ho ki KHizan sab mein chaTakte aae
hum har ek daur ke daman mein mahakte aae
TuT jaana to sitaron ka muqaddar Thahra
hum chamak wale hain chamkenge chamakte aae
jo riwayat hai azal se wo hai anjam apna
ahl-e-dil waqt ki suli pe laTakte aae
kitne ilzam the tane the shikayat thi bahut
sab usi dar pe magar sar ko paTakte aae
hum junun walon se kab dur thi manzil 'rahi'
aql wale the jo rahon mein bhaTakte aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.