fasl-e-gul KHak hui jab to sada di tu ne
fasl-e-gul ḳhaak huī jab to sadā dī tū ne
ai gul-e-tāza bahut der lagā dī tū ne
terī ḳhushbū se mire dil meñ khile dard ke phuul
so ga.ī thī jo balā phir se jagā dī tū ne
merī āñkhoñ meñ añdhere ke sivā kuchh bhī na thā
is ḳharābe meñ ye kyā sham.a jalā dī tū ne
zindagī bhar mujhe jalne ke liye chhoḌ diyā
sabz pattoñ meñ ye kyā aag lagā dī tū ne
koī sūrat bhī rihā.ī kī nahīñ rahne dī
aisī dīvār pe dīvār banā dī tū ne
maiñ tire haath na chūmūñ to ye nā-shukrī hai
daulat-e-dard tamannā se sivā dī tū ne
kabhī kah duuñ to zamāna merā dushman ho jaa.e
dil ko vo baat bhī chup rah ke batā dī tū ne
vo tire paas se chup-chāp guzar kaise gayā
dil-e-betāb qayāmat na uThā dī tū ne
ise kahne ke liye lafz kahāñ se aa.e
dāstān-e-shab-e-ġham kaise sunā dī tū ne
us ko bhī us kī nigāhoñ meñ bahut ḳhvār kiyā
apnī tauqīr bhī miTTī meñ milā dī tū ne
kaash vāpas tujhe goyā.ī na miltī 'shahzād'
bol kar aaj bahut baat baḌhā dī tū ne
fasl-e-gul KHak hui jab to sada di tu ne
ai gul-e-taza bahut der laga di tu ne
teri KHushbu se mere dil mein khile dard ke phul
so gai thi jo bala phir se jaga di tu ne
meri aankhon mein andhere ke siwa kuchh bhi na tha
is KHarabe mein ye kya shama jala di tu ne
zindagi bhar mujhe jalne ke liye chhoD diya
sabz patton mein ye kya aag laga di tu ne
koi surat bhi rihai ki nahin rahne di
aisi diwar pe diwar bana di tu ne
main tere hath na chumun to ye na-shukri hai
daulat-e-dard tamanna se siwa di tu ne
kabhi kah dun to zamana mera dushman ho jae
dil ko wo baat bhi chup rah ke bata di tu ne
wo tere pas se chup-chap guzar kaise gaya
dil-e-betab qayamat na uTha di tu ne
ise kahne ke liye lafz kahan se aae
dastan-e-shab-e-gham kaise suna di tu ne
us ko bhi us ki nigahon mein bahut KHwar kiya
apni tauqir bhi miTTi mein mila di tu ne
kash wapas tujhe goyai na milti 'shahzad'
bol kar aaj bahut baat baDha di tu ne
- Book : Deewar pe dastak (Pg. 578)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.