fasl-e-gul mein meri wahshat ke hain saman kitne
fasl-e-gul meñ mirī vahshat ke haiñ sāmāñ kitne
purze-purze nazar aate haiñ garebāñ kitne
kyā kahūñ dard-e-mohabbat ke haiñ ehsāñ kitne
aaj tum ho ga.e nazdīk-e-rag-e-jāñ kitne
aaj hañste hue vo ruḳh se ulaTte haiñ naqāb
aaj ḳhatre meñ nazar aate haiñ īmāñ kitne
ik nasheman ke liye phuñk gayā saarā māhaul
nigah-e-barq ke gulshan pe haiñ ehsāñ kitne
ham gunahgār-e-gulistāñ haiñ hameñ kyā ma.alūm
luT ga.e ain bahāroñ meñ gulistāñ kitne
ḳhanda-e-gul kī qasam girya-e-shabnam kī qasam
mausam-e-gul meñ bhī haiñ be-sar-o-sāmāñ kitne
mauj-dar-mauj talātum hai ḳhudā ḳhair kare
ik safīna ke liye uTThe haiñ tūfāñ kitne
dard-e-dil dard-e-jigar sub.h-e-alam shām-e-firāq
ek afsāne se paidā hue unvāñ kitne
muskurā kar kahīñ tum ne mujhe dekhā to nahīñ
rah ga.e dil meñ taḌapte hue armāñ kitne
mai-kada meñ nazar aa.e jo mujhe pahle-pahal
shaiḳh sāhab hue hairān-o-pareshāñ kitne
tū ne aaj ai nigah-e-shauq ye dekhā hī nahīñ
un kī palkoñ pe sitāre se haiñ raqsāñ kitne
jāda-e-dard-e-mohabbat meñ bhaTak kar ai dost
ik tire naam pe haiñ dast-o-garebāñ kitne
mujh se sīkhe koī sajdoñ kā salīqa 'sājid'
ho ga.e naqsh-e-qadam un ke numāyāñ kitne
fasl-e-gul mein meri wahshat ke hain saman kitne
purze-purze nazar aate hain gareban kitne
kya kahun dard-e-mohabbat ke hain ehsan kitne
aaj tum ho gae nazdik-e-rag-e-jaan kitne
aaj hanste hue wo ruKH se ulaTte hain naqab
aaj KHatre mein nazar aate hain iman kitne
ek nasheman ke liye phunk gaya sara mahaul
nigah-e-barq ke gulshan pe hain ehsan kitne
hum gunahgar-e-gulistan hain hamein kya malum
luT gae ain bahaaron mein gulistan kitne
KHanda-e-gul ki qasam girya-e-shabnam ki qasam
mausam-e-gul mein bhi hain be-sar-o-saman kitne
mauj-dar-mauj talatum hai KHuda KHair kare
ek safina ke liye uTThe hain tufan kitne
dard-e-dil dard-e-jigar subh-e-alam sham-e-firaq
ek afsane se paida hue unwan kitne
muskura kar kahin tum ne mujhe dekha to nahin
rah gae dil mein taDapte hue arman kitne
mai-kada mein nazar aae jo mujhe pahle-pahal
shaiKH sahab hue hairan-o-pareshan kitne
tu ne aaj ai nigah-e-shauq ye dekha hi nahin
un ki palkon pe sitare se hain raqsan kitne
jada-e-dard-e-mohabbat mein bhaTak kar ai dost
ek tere nam pe hain dast-o-gareban kitne
mujh se sikhe koi sajdon ka saliqa 'sajid'
ho gae naqsh-e-qadam un ke numayan kitne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.