fasl-e-gul sare gulistan ko nikhaar aai hai
fasl-e-gul saare gulistāñ ko nikhār aa.ī hai
phuul to phuul haiñ kāñToñ pe bahār aa.ī hai
surḳh Dore tirī āñkhoñ ke haiñ ġhammāz sanam
kah diyā shab kā fasāna jo guzār aa.ī hai
aa.ī tahzīb na.ī to yahī ma.alūm huā
ruḳh-e-māzī se naqāboñ ko utaar aa.ī hai
chāñd tāroñ se sajī merī shab-e-ġham dekho
nuur ke Dole pe yādoñ kī bahār aa.ī hai
tīrgī aaj shab-e-ġham kī miTāne ke liye
merī palkoñ pe sitāroñ kī qatār aa.ī hai
jab huā un ko yaqīñ maiñ huā ġharqāb-e-vafā
tab sahāre ke liye un kī pukār aa.ī hai
mirī sāñsoñ meñ basī phir vahī ḳhushbū 'monis'
kyā sabā gesū-e-mahbūb sañvār aa.ī hai
fasl-e-gul sare gulistan ko nikhaar aai hai
phul to phul hain kanTon pe bahaar aai hai
surKH Dore teri aankhon ke hain ghammaz sanam
kah diya shab ka fasana jo guzar aai hai
aai tahzib nai to yahi malum hua
ruKH-e-mazi se naqabon ko utar aai hai
chand taron se saji meri shab-e-gham dekho
nur ke Dole pe yaadon ki bahaar aai hai
tirgi aaj shab-e-gham ki miTane ke liye
meri palkon pe sitaron ki qatar aai hai
jab hua un ko yaqin main hua gharqab-e-wafa
tab sahaare ke liye un ki pukar aai hai
meri sanson mein basi phir wahi KHushbu 'monis'
kya saba gesu-e-mahbub sanwar aai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.