fasl-e-nai hai saKHt joban par nazar ke samne
fasl-e-nai hai saḳht joban par nazar ke sāmne
phir salīb ugne lagī dīvār-o-dar ke sāmne
der tak maiñ ne nahīñ dekhī parindoñ kī uḌaan
der tak baiThā thā koī mere ghar ke sāmne
vaqt marham hai magar marham kā bhī ik vaqt hai
ro paḌā huuñ ik purāne ham-safar ke sāmne
baarī baarī apnī miTTī gūñdh kar sab chal paḌe
dhuul uḌtī jā rahī hai kūza-gar ke sāmne
ūñchī shāḳhoñ par phaloñ kā ek hī nuqsān hai
pattharoñ ke Dher lagte haiñ shajar ke sāmne
fasl-e-nai hai saKHt joban par nazar ke samne
phir salib ugne lagi diwar-o-dar ke samne
der tak main ne nahin dekhi parindon ki uDan
der tak baiTha tha koi mere ghar ke samne
waqt marham hai magar marham ka bhi ek waqt hai
ro paDa hun ek purane ham-safar ke samne
bari bari apni miTTi gundh kar sab chal paDe
dhul uDti ja rahi hai kuza-gar ke samne
unchi shaKHon par phalon ka ek hi nuqsan hai
pattharon ke Dher lagte hain shajar ke samne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.