fasl-e-rasan-o-dar mein aa humne suna hai
fasl-e-rasan-o-dār meñ aa ham ne sunā hai
paiġhām tirā zulf-e-rasā ham ne sunā hai
rañgīñ nazar aate haiñ tire kūcha-o-bāzār
guzrā hai koī ābla-pā ham ne sunā hai
kyā baat hai us kūcha-e-dildār kī yaaro
phirtī hai ka.ī din se sabā ham ne sunā hai
dekhī hai tire āriz-e-gul-rañg meñ bijlī
kahte tirī zulfoñ ko ghaTā ham ne sunā hai
ye rañg ye ḳhushbū ye chamaktī huī rāheñ
TuuTā hai koī band-e-qabā ham ne sunā hai
'dilkash' jo kaheñ bhī to kaheñ kis se ġham-e-dil
apnā to sanam hai na ḳhudā ham ne sunā hai
fasl-e-rasan-o-dar mein aa hum ne suna hai
paigham tera zulf-e-rasa hum ne suna hai
rangin nazar aate hain tere kucha-o-bazar
guzra hai koi aabla-pa hum ne suna hai
kya baat hai us kucha-e-dildar ki yaro
phirti hai kai din se saba hum ne suna hai
dekhi hai tere aariz-e-gul-rang mein bijli
kahte teri zulfon ko ghaTa hum ne suna hai
ye rang ye KHushbu ye chamakti hui rahen
TuTa hai koi band-e-qaba hum ne suna hai
'dilkash' jo kahen bhi to kahen kis se gham-e-dil
apna to sanam hai na KHuda hum ne suna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.