fasurda aashiyane mein parinde chahchahane se
fasurda āshiyāne meñ parinde chahchahāne se
shajar kā rang badlā thā havā ke sarsarāne se
vo lamha shaam kā thā aur ufuq ke niile āñgan meñ
shafaq jalne lagī ḳhurshīd kī mash'al bujhāne se
damakte jugnuoñ ke raqs se mā'lūm hotā hai
zamīñ ḳhush-hāl rahtī hai na.e paude lagāne se
vo motī dekh kar jis ko zamāna dang rah jaa.e
kabhī maiñ DhūñD lā.ūñgā samundar ke ḳhazāne se
ghanā sannāTā chhāyā thā mire ḳhvāboñ ke jangal meñ
tilism-e-ḳhāmushī TuuTā kisī ke gungunāne se
barahna peḌ ko shāyad sukūt-e-hijr meñ 'rāshid'
bahār āvāz detī thī ḳhizāñ ke shāmiyāne se
fasurda aashiyane mein parinde chahchahane se
shajar ka rang badla tha hawa ke sarsarane se
wo lamha sham ka tha aur ufuq ke nile aangan mein
shafaq jalne lagi KHurshid ki mash'al bujhane se
damakte jugnuon ke raqs se ma'lum hota hai
zamin KHush-haal rahti hai nae paude lagane se
wo moti dekh kar jis ko zamana dang rah jae
kabhi main DhunD launga samundar ke KHazane se
ghana sannaTa chhaya tha mere KHwabon ke jangal mein
tilism-e-KHamushi TuTa kisi ke gungunane se
barahna peD ko shayad sukut-e-hijr mein 'rashid'
bahaar aawaz deti thi KHizan ke shamiyane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.