fasurda dagh-e-jigar dil-ruba nahin rahta
fasurda dagh-e-jigar dil-ruba nahin rahta
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
MORE BYAbdul Rahman Ehsan Dehlvi
fasurda dāġh-e-jigar dil-rubā nahīñ rahtā
charāġh ishq kā hargiz bujhā nahīñ rahtā
baġhal meñ rashk se dil dil-rubā nahīñ rahtā
ḳhafā hai ye ki tū mujh se ḳhafā nahīñ rahtā
hamesha husn sun ai bevafā nahīñ rahtā
kabhī zamāna sadā ek sā nahīñ rahtā
bujhī jo sham.a to parvānoñ pe huā raushan
ki ba.ad-e-marg koī āshnā nahīñ rahtā
kahāñ vo girya vo naala vo jāñ-ba-lab rahnā
kisī kā kaam hamesha banā nahīñ rahtā
ḳhudā-na-ḳhāsta tum to sanam nahīñ aise
tumhāre dil meñ to kiina sadā nahīñ rahtā
kahā jo maiñ ne ki ai rashk-e-māh ghar meñ mire
tū mehrbānī se kyuuñ ik zarā nahīñ rahtā
lagā ye kahne ki haañ haañ hai ye bhī apnā shauq
nahīñ nahīñ nahīñ rahtā huuñ jā nahīñ rahtā
jo mujh ko kahiye maiñ āñkhoñ se zabt-e-girya karūñ
mirā qusūr nahīñ dil mirā nahīñ rahtā
yahāñ mujhe hī nasīhat ko haiñ sabhī maujūd
vahāñ to hosh kisī kā bajā nahīñ rahtā
ye dāġh-e-ishq hai kyūñ-kar na gul khile is kā
hazār is ko chhupāo chhupā nahīñ rahtā
jo dil liyā hai to bosa bhī do samajh rakkho
ki bad-mo.āmlagī meñ mazā nahīñ rahtā
lagā.ī taak hai kyuuñ mohtasib ne tujh pe dilā
agar tū duḳhtar-e-raz se bhalā nahīñ rahtā
na khīñch teġh tū 'ehsān' nā-tavān pe aah
miyāñ ye zor kisī kā sadā nahīñ rahtā
fasurda dagh-e-jigar dil-ruba nahin rahta
charagh ishq ka hargiz bujha nahin rahta
baghal mein rashk se dil dil-ruba nahin rahta
KHafa hai ye ki tu mujh se KHafa nahin rahta
hamesha husn sun ai bewafa nahin rahta
kabhi zamana sada ek sa nahin rahta
bujhi jo shama to parwanon pe hua raushan
ki baad-e-marg koi aashna nahin rahta
kahan wo girya wo nala wo jaan-ba-lab rahna
kisi ka kaam hamesha bana nahin rahta
KHuda-na-KHasta tum to sanam nahin aise
tumhaare dil mein to kina sada nahin rahta
kaha jo main ne ki ai rashk-e-mah ghar mein mere
tu mehrbani se kyun ek zara nahin rahta
laga ye kahne ki han han hai ye bhi apna shauq
nahin nahin nahin rahta hun ja nahin rahta
jo mujh ko kahiye main aankhon se zabt-e-girya karun
mera qusur nahin dil mera nahin rahta
yahan mujhe hi nasihat ko hain sabhi maujud
wahan to hosh kisi ka baja nahin rahta
ye dagh-e-ishq hai kyun-kar na gul khile is ka
hazar is ko chhupao chhupa nahin rahta
jo dil liya hai to bosa bhi do samajh rakkho
ki bad-moamlagi mein maza nahin rahta
lagai tak hai kyun mohtasib ne tujh pe dila
agar tu duKHtar-e-raz se bhala nahin rahta
na khinch tegh tu 'ehsan' na-tawan pe aah
miyan ye zor kisi ka sada nahin rahta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.