fauran sipah-e-shum ki lalkar band ho
fauran sipāh-e-shūm kī lalkār band ho
yūñhī alaf jalāl se merā samand ho
apne hī dil pe jab mirā qaabū nahīñ rahā
kaise kisī jahān pe merī kamand ho
tere navāh meñ ka.ī kachche makān haiñ
itnā na sat.h-e-āb se dariyā buland ho
insāniyat vujūd ke jauhar kā naam hai
so aañkh nam na ho bhī to dil dard-mand ho
uktā gayā huuñ dekh ke hamvār zindagī
jī chāhtā hai ab kahīñ past-o-buland ho
kartā nahīñ kisī ke sahāre pe inhisār
jis shaḳhs kā mizāj haqīqat-pasand ho
chaltā huuñ maiñ bhī saath mu'āfī ke vāste
mumkin hai merī zaat se pohñchā gazand ho
tab tak kisī ke 'ishq kā dā'vā daroġh hai
jab tak jigar na soḳhtagī se sipand ho
merā nishān kaun-o-makāñ DhūñDte phireñ
aisī hudūd-e-jism se bāhar zaqand ho
fauran sipah-e-shum ki lalkar band ho
yunhi alaf jalal se mera samand ho
apne hi dil pe jab mera qabu nahin raha
kaise kisi jahan pe meri kamand ho
tere nawah mein kai kachche makan hain
itna na sath-e-ab se dariya buland ho
insaniyat wujud ke jauhar ka nam hai
so aankh nam na ho bhi to dil dard-mand ho
ukta gaya hun dekh ke hamwar zindagi
ji chahta hai ab kahin past-o-buland ho
karta nahin kisi ke sahaare pe inhisar
jis shaKHs ka mizaj haqiqat-pasand ho
chalta hun main bhi sath mu'afi ke waste
mumkin hai meri zat se pohncha gazand ho
tab tak kisi ke 'ishq ka da'wa darogh hai
jab tak jigar na soKHtagi se sipand ho
mera nishan kaun-o-makan DhunDte phiren
aisi hudud-e-jism se bahar zaqand ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.