faza ajib si manzar ajib dekhte hain
fazā ajiib sī manzar ajiib dekhte haiñ
ham hāsidīn ko apne qarīb dekhte haiñ
ḳhulūs bāñTte phirte haiñ is ke baad bhī ham
agarche sāmne apne salīb dekhte haiñ
tumheñ gila hai raqīboñ kī tang-nazarī kā
hameñ to tang nazar se habīb dekhte haiñ
ajab nigāh se takte haiñ mujh ko ahl-e-suḳhan
ajab nigāh se mujh ko adiib dekhte haiñ
haqāratoñ ke sivā aur kuchh nahīñ paate
kabhī jo kāsa-e-dil meñ ġharīb dekhte haiñ
kahāñ nikaltā hai sūraj hamārī kāvish kā
kahāñ chamaktā hai jā kar nasīb dekhte haiñ
faza ajib si manzar ajib dekhte hain
hum hasidin ko apne qarib dekhte hain
KHulus banTte phirte hain is ke baad bhi hum
agarche samne apne salib dekhte hain
tumhein gila hai raqibon ki tang-nazari ka
hamein to tang nazar se habib dekhte hain
ajab nigah se takte hain mujh ko ahl-e-suKHan
ajab nigah se mujh ko adib dekhte hain
haqaraton ke siwa aur kuchh nahin pate
kabhi jo kasa-e-dil mein gharib dekhte hain
kahan nikalta hai suraj hamari kawish ka
kahan chamakta hai ja kar nasib dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.