faza bhi girwi paDi bahr-o-bar bhi girwi hain
fazā bhī girvī paḌī bahr-o-bar bhī girvī haiñ
ye sar uThā.eñ to kaise ki sar bhī girvī haiñ
hamāre haañ jo paḌā hai hamārā kuchh bhī nahīñ
hamāre haañ to parindoñ ke par bhī girvī haiñ
hamārā da.avā hai ham zinda qaum haiñ lekin
hamārī fasleñ zamīneñ ye ghar bhī girvī haiñ
maiñ apnī marzī se ye moḌ kāTtā huuñ kahāñ
safar bhī girvī mire ham-safar bhī girvī haiñ
mire nahīñ ye mujhe chāroñ mausamoñ kī qasam
mire shajar mire barg-o-samar bhī girvī haiñ
mujhe sitāroñ kī sargoshiyāñ batātī haiñ
ye āsmān ye shams-o-qamar bhī girvī haiñ
kisī ko khul ke ijāzat nahīñ hai kahne kī
hamāre shahr ke sab dīda-var bhī girvī haiñ
huzūr ham haiñ na.ī khep vo ġhulāmoñ kī
pidar bhī girvī paḌe haiñ pisar bhī girvī haiñ
hamāre sho.ala-o-shabnam bhī ab hamāre nahīñ
hamāre sarv saman kyā sharar bhī girvī haiñ
ba-taur-e-ḳhās hameñ jānvar samajhtā hai
so us kī nazroñ meñ ham jānvar bhī girvī haiñ
hamāre aiboñ kī gaThrī to roz kholte ho
tumhāre paas hamāre hunar bhī girvī haiñ
ḳhushī ġhamī kā bhī iz.hār kar nahīñ sakte
hamāre naġhma-gar-o-nauha-gar bhī girvī haiñ
faza bhi girwi paDi bahr-o-bar bhi girwi hain
ye sar uThaen to kaise ki sar bhi girwi hain
hamare han jo paDa hai hamara kuchh bhi nahin
hamare han to parindon ke par bhi girwi hain
hamara dawa hai hum zinda qaum hain lekin
hamari faslen zaminen ye ghar bhi girwi hain
main apni marzi se ye moD kaTta hun kahan
safar bhi girwi mere ham-safar bhi girwi hain
mere nahin ye mujhe chaaron mausamon ki qasam
mere shajar mere barg-o-samar bhi girwi hain
mujhe sitaron ki sargoshiyan batati hain
ye aasman ye shams-o-qamar bhi girwi hain
kisi ko khul ke ijazat nahin hai kahne ki
hamare shahr ke sab dida-war bhi girwi hain
huzur hum hain nai khep wo ghulamon ki
pidar bhi girwi paDe hain pisar bhi girwi hain
hamare shoala-o-shabnam bhi ab hamare nahin
hamare sarw saman kya sharar bhi girwi hain
ba-taur-e-KHas hamein jaanwar samajhta hai
so us ki nazron mein hum jaanwar bhi girwi hain
hamare aibon ki gaThri to roz kholte ho
tumhaare pas hamare hunar bhi girwi hain
KHushi ghami ka bhi izhaar kar nahin sakte
hamare naghma-gar-o-nauha-gar bhi girwi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.