faza chaman ki zara sazgar ho to sahi
fazā chaman kī zarā sāzgār ho to sahī
bahār par bhī yaqīn-e-bahār ho to sahī
jalāo dil ki chhaTe manziloñ kī tārīkī
koī charāġh sar-e-rahguzār ho to sahī
sunā hai tū bhī masīhā-e-asr-e-hāzir hai
magar ilāj-e-ġham-e-rozgār ho to sahī
ik ek samt haiñ charche tirī vafāoñ ke
ḳhatā muaaf hameñ e.atibār ho to sahī
dikhā.eñ chiir ke dil kis ko terī mahfil meñ
koī hamārā yahāñ ġham-gusār ho to sahī
ruḳh-e-hayāt pe kyoñ jam rahī hai gard-e-malāl
ye raaz tujh pe kabhī āshkār ho to sahī
jabīn-e-vaqt pe bal paḌ rahe haiñ kyoñ āḳhir
kiye pe apne zarā sharmsār ho to sahī
dayār-e-ġhair meñ bhī aabrū se guzregī
'tufail' aisā ġharīb-ud-dayār ho to sahī
faza chaman ki zara sazgar ho to sahi
bahaar par bhi yaqin-e-bahaar ho to sahi
jalao dil ki chhaTe manzilon ki tariki
koi charagh sar-e-rahguzar ho to sahi
suna hai tu bhi masiha-e-asr-e-hazir hai
magar ilaj-e-gham-e-rozgar ho to sahi
ek ek samt hain charche teri wafaon ke
KHata muaf hamein eatibar ho to sahi
dikhaen chir ke dil kis ko teri mahfil mein
koi hamara yahan gham-gusar ho to sahi
ruKH-e-hayat pe kyon jam rahi hai gard-e-malal
ye raaz tujh pe kabhi aashkar ho to sahi
jabin-e-waqt pe bal paD rahe hain kyon aaKHir
kiye pe apne zara sharmsar ho to sahi
dayar-e-ghair mein bhi aabru se guzregi
'tufail' aisa gharib-ud-dayar ho to sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.