faza-e-barq kya raqs-e-sharar kya
fazā-e-barq kyā raqs-e-sharar kyā
karishmoñ se laḌe un kī nazar kyā
ḳhayāl-e-hūr-o-kausar se hai badmast
ġham-e-dīñ kī ho vaa.iz ko ḳhabar kyā
rahegī hashr meñ yād-e-mai-o-jām
kiyā hai aur ham ne umr bhar kyā
talāsh-e-dard hai ahl-e-havas ko
kashish hai khel biktā hai asar kyā
bane haiñ tār-e-dāman ḳhār-e-dāman
lagā.e haath in ko baḳhiya-gar kyā
anal-haq par abas hai shor-e-bejā
na thā yazdāñ kī sūrat meñ bashar kyā
na ho mizhgāñ ko jumbish ye guzar jaa.e
hayāt-e-aish bhī hai muḳhtasar kyā
gire the phuul kuchh sham-e-lahad ke
uḌā kar le ga.ī bād-e-sahar kyā
vo dāman ho to rone kā maza hai
dikhā.e josh-e-tūfāñ chashm-e-tar kyā
banā rakkhā hai dīvāna kisī ko
tumhāre husn meñ hai ye asar kyā
harīf-e-rabt hai rusvā.ī-e-shauq
ye hañs kar kah gayā paiġhāmbar kyā
rahūñ mahrūm-e-zauq-e-marg-e-ulfat
mujhe tū kostā hai chārāgar kyā
rahe jis dil meñ soz-e-ġham vo dil hai
rahe jis ghar meñ tārīkī vo ghar kyā
junūn-e-ishq hai ik chiiz nāseh
tujhe samjhā.eñ ham āshufta-sar kyā
mohabbat meñ hai dil kā aa.ina dil
tamannā.eñ idhar se hoñ udhar kyā
suḳhan-parvar hai daur-e-nā-shanāsī
sabaq-āmoz ho arz-e-hunar kyā
tamāshā-gāh-e-hasrat chashm-o-dil haiñ
tajallī munhasir hai tuur par kyā
khulā ye bhī sharīk-e-jām thā yaar
huī ḳhalvat kī tauba parda-dar kyā
raqam lo pīr-e-mai-ḳhāna se 'nāzish'
tumheñ darpesh hai hajj-e-safar kyā
faza-e-barq kya raqs-e-sharar kya
karishmon se laDe un ki nazar kya
KHayal-e-hur-o-kausar se hai badmast
gham-e-din ki ho waiz ko KHabar kya
rahegi hashr mein yaad-e-mai-o-jam
kiya hai aur hum ne umr bhar kya
talash-e-dard hai ahl-e-hawas ko
kashish hai khel bikta hai asar kya
bane hain tar-e-daman KHar-e-daman
lagae hath in ko baKHiya-gar kya
anal-haq par abas hai shor-e-beja
na tha yazdan ki surat mein bashar kya
na ho mizhgan ko jumbish ye guzar jae
hayat-e-aish bhi hai muKHtasar kya
gire the phul kuchh sham-e-lahad ke
uDa kar le gai baad-e-sahar kya
wo daman ho to rone ka maza hai
dikhae josh-e-tufan chashm-e-tar kya
bana rakkha hai diwana kisi ko
tumhaare husn mein hai ye asar kya
harif-e-rabt hai ruswai-e-shauq
ye hans kar kah gaya paighambar kya
rahun mahrum-e-zauq-e-marg-e-ulfat
mujhe tu kosta hai chaaragar kya
rahe jis dil mein soz-e-gham wo dil hai
rahe jis ghar mein tariki wo ghar kya
junun-e-ishq hai ek chiz naseh
tujhe samjhaen hum aashufta-sar kya
mohabbat mein hai dil ka aaina dil
tamannaen idhar se hon udhar kya
suKHan-parwar hai daur-e-na-shanasi
sabaq-amoz ho arz-e-hunar kya
tamasha-gah-e-hasrat chashm-o-dil hain
tajalli munhasir hai tur par kya
khula ye bhi sharik-e-jam tha yar
hui KHalwat ki tauba parda-dar kya
raqam lo pir-e-mai-KHana se 'nazish'
tumhein darpesh hai hajj-e-safar kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.