faza-e-dahr mein bekar diwane nahin aae
fazā-e-dahr meñ bekār dīvāne nahīñ aa.e
samajhne aa.e haiñ duniyā ko samjhāne nahīñ aa.e
ḳhudāvandā na rakhnā un butoñ se tū judā ham ko
ki ham jannat meñ ulfat kī sazā paane nahīñ aa.e
zamīñ se āsmāñ tak ek vīrānī sī thī taarī
hudūd-e-kun meñ jab tak un ke dīvāne nahīñ aa.e
ye un kī bazm hai kuchh terā mai-ḳhāna nahīñ saaqī
yahāñ apne nahīñ aa.e ki begāne nahīñ aa.e
bahāroñ ko chaman meñ aa.e ik muddat huī lekin
bahāreñ jin pe qurbāñ hoñ vo dīvāne nahīñ aa.e
taḌap kar rah gayā dil be-hisī-e-ishq par aksar
huzūr-e-husn jab ulfat ke nazrāne nahīñ aa.e
sunātā kis tarah rūdād-e-ulfat un ko ai 'mūsā'
ki ro.ab-e-husn se hoñToñ pe afsāne nahīñ aa.e
faza-e-dahr mein bekar diwane nahin aae
samajhne aae hain duniya ko samjhane nahin aae
KHudawanda na rakhna un buton se tu juda hum ko
ki hum jannat mein ulfat ki saza pane nahin aae
zamin se aasman tak ek virani si thi tari
hudud-e-kun mein jab tak un ke diwane nahin aae
ye un ki bazm hai kuchh tera mai-KHana nahin saqi
yahan apne nahin aae ki begane nahin aae
bahaaron ko chaman mein aae ek muddat hui lekin
bahaaren jin pe qurban hon wo diwane nahin aae
taDap kar rah gaya dil be-hisi-e-ishq par aksar
huzur-e-husn jab ulfat ke nazrane nahin aae
sunata kis tarah rudad-e-ulfat un ko ai 'musa'
ki roab-e-husn se honTon pe afsane nahin aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.