faza-e-gulsitan se dil agar begana ho jae
faza-e-gulsitan se dil agar begana ho jae
Mukhtar Ashiqi Jaunpuri
MORE BYMukhtar Ashiqi Jaunpuri
fazā-e-gulsitāñ se dil agar begāna ho jaa.e
har ik gul ḳhaar sā khanke chaman vīrāna ho jaa.e
idhar aao batā.ūñ maiñ tumheñ dīvāngī kyā hai
jise dīvāna kah do tum vahī dīvāna ho jaa.e
havā.eñ nāchtī aa.iiñ fazā.eñ jhūmtī aa.iiñ
adā phir aaj saaqī sunnat-e-mai-ḳhāna ho jaa.e
tumhīñ insāf se kah do ma.āl-e-ishq kyā hogā
harīf-e-naqsh-e-pā gar sajda-e-shukrāna ho jaa.e
mujhe saaqī pilā yuuñ mai-kada-bar-dosh āñkhoñ se
nazar jis shai pe Dālūñ maiñ vahī paimāna ho jaa.e
karam-parvar nazar se tum kabhī dekho agar mujh ko
mukammal zindagī kā nau-ba-nau afsāna ho jaa.e
bane shāgird 'āshiq' jaunpūrī kā agar koī
yaqīñ 'muḳhtār' hai vo shā.ir-e-farzāna ho jaa.e
faza-e-gulsitan se dil agar begana ho jae
har ek gul KHar sa khanke chaman virana ho jae
idhar aao bataun main tumhein diwangi kya hai
jise diwana kah do tum wahi diwana ho jae
hawaen nachti aain fazaen jhumti aain
ada phir aaj saqi sunnat-e-mai-KHana ho jae
tumhin insaf se kah do maal-e-ishq kya hoga
harif-e-naqsh-e-pa gar sajda-e-shukrana ho jae
mujhe saqi pila yun mai-kada-bar-dosh aankhon se
nazar jis shai pe Dalun main wahi paimana ho jae
karam-parwar nazar se tum kabhi dekho agar mujh ko
mukammal zindagi ka nau-ba-nau afsana ho jae
bane shagird 'ashiq' jaunpuri ka agar koi
yaqin 'muKHtar' hai wo shair-e-farzana ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.