faza-e-qurb mein betabi-e-dil baDhti jati hai
fazā-e-qurb meñ betābī-e-dil baḌhtī jaatī hai
mohabbat kī taḌap manzil-ba-manzil baḌhtī jaatī hai
udhar bārish musalsal jalva-hā-e-be-mahābā kī
idhar mahdūd nazāre kī mushkil baḌhtī jaatī hai
pahuñchtā jā rahā huuñ auj-e-idrāk-e-haqīqat tak
barābar himmat-e-qat.a-e-manāzil baḌhtī jaatī hai
idhar mere liye chashm-e-talab ḳhuub anjuman un kī
udhar begāngi-e-ahl-e-mahfil baḌhtī jaatī hai
yahī mausam hai barq-o-āshiyāñ ke chheḌ kā mausam
bahār aa.ī to kuchh fikr-e-anādil baḌhtī jaatī hai
jalāne ko to parvāna jo paa.e sab jalā Daale
magar afsurdagi-e-sham.a-e-mahfil baḌhtī jaatī hai
talāsh-e-jū-e-shīr āsāñ jo azm-e-kohkan bhī ho
suhūlat DhūñDne vāloñ kī mushkil baḌhtī jaatī hai
bahār-e-tāza aane ko hai phir 'ārif' gulistāñ meñ
bahar-sū naġhma-sanji-e-anādil baḌhtī jaatī hai
faza-e-qurb mein betabi-e-dil baDhti jati hai
mohabbat ki taDap manzil-ba-manzil baDhti jati hai
udhar barish musalsal jalwa-ha-e-be-mahaba ki
idhar mahdud nazare ki mushkil baDhti jati hai
pahunchta ja raha hun auj-e-idrak-e-haqiqat tak
barabar himmat-e-qata-e-manazil baDhti jati hai
idhar mere liye chashm-e-talab KHub anjuman un ki
udhar begangi-e-ahl-e-mahfil baDhti jati hai
yahi mausam hai barq-o-ashiyan ke chheD ka mausam
bahaar aai to kuchh fikr-e-anadil baDhti jati hai
jalane ko to parwana jo pae sab jala Dale
magar afsurdagi-e-shama-e-mahfil baDhti jati hai
talash-e-ju-e-shir aasan jo azm-e-kohkan bhi ho
suhulat DhunDne walon ki mushkil baDhti jati hai
bahaar-e-taza aane ko hai phir 'arif' gulistan mein
bahar-su naghma-sanji-e-anadil baDhti jati hai
- Book : متاع دل و جاں (Pg. 55)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.