faza-e-sahn-e-chaman aaj sazgar nahin
fazā-e-sahn-e-chaman aaj sāzgār nahīñ
yahāñ bahār to hai raunaq-e-bahār nahīñ
ho laakh husn-e-sifat aap zī-vaqār nahīñ
amīr-e-shahr kī saf meñ agar shumār nahīñ
sukūn chhin gayā āsā.ishoñ ke milne se
hai kaun aaj ġhamoñ se jo ham-kanār nahīñ
tabāhiyoñ kī taraf gāmzan hai ye duniyā
jahāñ ye amn ho aisā koī dayār nahīñ
ho is tarah se nigāh-e-jahāñ meñ qadr mirī
ḳhudā-e-vaqt huuñ maiñ koī shahr-yār nahīñ
har ek chashm-e-karam meñ fareb pinhāñ hai
koī kisī kā haqīqat meñ ġham-gusār nahīñ
milegī kaise yahāñ par kisī ko pyaar kī chhāñv
shajar ḳhulūs kā ab koī sāya-dār nahīñ
ise hī kaifiyat-e-ishq kahte haiñ shāyad
hameñ sukūn nahīñ hai unheñ qarār nahīñ
abhī to kam hai tire tīr-e-nīm-kash kā asar
abhī ye dil mirā tūfāñ se ham-kanār nahīñ
ab itnī gir ga.ī ye sat.h-e-dostī apnī
hameñ yaqīn nahīñ un ko e.atibār meñ
shab-e-firāq Darā.e na ḳhvāb-e-vahshat se
hameñ to ḳhvāb kī bātoñ kā e.atibār nahīñ
ḳhudā ke ḳhauf se aarī hai us kā dil 'ahsan'
ḳhatā pe apnī zarā bhī jo sharmsār nahīñ
faza-e-sahn-e-chaman aaj sazgar nahin
yahan bahaar to hai raunaq-e-bahaar nahin
ho lakh husn-e-sifat aap zi-waqar nahin
amir-e-shahr ki saf mein agar shumar nahin
sukun chhin gaya aasaishon ke milne se
hai kaun aaj ghamon se jo ham-kanar nahin
tabahiyon ki taraf gamzan hai ye duniya
jahan ye amn ho aisa koi dayar nahin
ho is tarah se nigah-e-jahan mein qadr meri
KHuda-e-waqt hun main koi shahr-yar nahin
har ek chashm-e-karam mein fareb pinhan hai
koi kisi ka haqiqat mein gham-gusar nahin
milegi kaise yahan par kisi ko pyar ki chhanw
shajar KHulus ka ab koi saya-dar nahin
ise hi kaifiyat-e-ishq kahte hain shayad
hamein sukun nahin hai unhen qarar nahin
abhi to kam hai tere tir-e-nim-kash ka asar
abhi ye dil mera tufan se ham-kanar nahin
ab itni gir gai ye sath-e-dosti apni
hamein yaqin nahin un ko eatibar mein
shab-e-firaq Darae na KHwab-e-wahshat se
hamein to KHwab ki baaton ka eatibar nahin
KHuda ke KHauf se aari hai us ka dil 'ahsan'
KHata pe apni zara bhi jo sharmsar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.