faza-e-shahr ko wahshat-asar taslim karte hain
fazā-e-shahr ko vahshat-asar taslīm karte haiñ
diloñ meñ chhap ke baiThā hai jo Dar taslīm karte haiñ
hamāre ghar kī tanhā.ī pe puurā haq hamārā hai
use ham apne āñgan kā shajar taslīm karte haiñ
jo sach pūchho to ab vo shai nahīñ apne Thikāne par
ye ham haiñ jo use ab tak idhar taslīm karte haiñ
mirī shorīdgī mujh ko kahīñ thamne nahīñ detī
bhañvar mujh ko ba-zāt-e-ḳhud bhañvar taslīm karte haiñ
hamārī zaat se sanjīdgī kā ḳhol utrā hai
ye terī dil-navāzī kā asar taslīm karte haiñ
ham in mahtāb chehroñ ke jilau meñ ghūmne vaale
tirī yādoñ ko apnā ham-safar taslīm karte haiñ
vabā jo shahr meñ phailī hai vo rukne nahīñ vaalī
samajhte haiñ hamāre chārāgar taslīm karte haiñ
kisī insān se apnī tabī.at mil nahīñ saktī
sab apne aap ko farruḳh-siyar taslīm karte haiñ
tirī qudrat ke aage bas nahīñ chaltā kisī shai kā
tire bande tire muhtāj-e-dar taslīm karte haiñ
ajab zauq-e-nazāra dīda-e-purnam ne baḳhshā hai
ziyā-e-ashk ko āb-e-guhar taslīm karte haiñ
maiñ apnī shā.erī se mutma.in hotā nahīñ 'yāvar'
agarche mujh ko sab ahl-e-hunar taslīm karte haiñ
faza-e-shahr ko wahshat-asar taslim karte hain
dilon mein chhap ke baiTha hai jo Dar taslim karte hain
hamare ghar ki tanhai pe pura haq hamara hai
use hum apne aangan ka shajar taslim karte hain
jo sach puchho to ab wo shai nahin apne Thikane par
ye hum hain jo use ab tak idhar taslim karte hain
meri shoridgi mujh ko kahin thamne nahin deti
bhanwar mujh ko ba-zat-e-KHud bhanwar taslim karte hain
hamari zat se sanjidgi ka KHol utra hai
ye teri dil-nawazi ka asar taslim karte hain
hum in mahtab chehron ke jilau mein ghumne wale
teri yaadon ko apna ham-safar taslim karte hain
waba jo shahr mein phaili hai wo rukne nahin wali
samajhte hain hamare chaaragar taslim karte hain
kisi insan se apni tabiat mil nahin sakti
sab apne aap ko farruKH-siyar taslim karte hain
teri qudrat ke aage bas nahin chalta kisi shai ka
tere bande tere muhtaj-e-dar taslim karte hain
ajab zauq-e-nazara dida-e-purnam ne baKHsha hai
ziya-e-ashk ko aab-e-guhar taslim karte hain
main apni shaeri se mutmain hota nahin 'yawar'
agarche mujh ko sab ahl-e-hunar taslim karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.