faza-e-zauq-e-tamasha hai sar-basar mahdud
faza-e-zauq-e-tamasha hai sar-basar mahdud
Syed Wajid Ali Farrukh Banarsi
MORE BYSyed Wajid Ali Farrukh Banarsi
fazā-e-zauq-e-tamāshā hai sar-basar mahdūd
vasī.a dā.era-e-husn aur nazar mahdūd
nafas kī garm-ravī barq kā tabassum thī
milī bhī fursat-e-hastī to kis qadar mahdūd
vahāñ zuhūr-e-tajallī ko chāhiye ik umr
yahāñ ye ālam-e-hastī ki sar-basar mahdūd
ba-qadr-e-zauq-e-tapish ruḳhsat-e-tapish na milī
bisāt-e-ālam-e-imkāñ hai kis qadar mahdūd
mushāhidāt kī had se guzar sakī na nigāh
taḳhaiyyulāt kī duniyā hai sar-basar mahdūd
mire gunāhoñ kī vus.at ko dekhne vaale
tū apne sheva-e-altāf ko na kar mahdūd
nigāheñ kyā hoñ haqīqat se āshnā 'farruḳh'
ta.ayyunāt se hai vus.at-e-nazar mahdūd
faza-e-zauq-e-tamasha hai sar-basar mahdud
wasia daera-e-husn aur nazar mahdud
nafas ki garm-rawi barq ka tabassum thi
mili bhi fursat-e-hasti to kis qadar mahdud
wahan zuhur-e-tajalli ko chahiye ek umr
yahan ye aalam-e-hasti ki sar-basar mahdud
ba-qadr-e-zauq-e-tapish ruKHsat-e-tapish na mili
bisat-e-alam-e-imkan hai kis qadar mahdud
mushahidat ki had se guzar saki na nigah
taKHaiyyulat ki duniya hai sar-basar mahdud
mere gunahon ki wusat ko dekhne wale
tu apne shewa-e-altaf ko na kar mahdud
nigahen kya hon haqiqat se aashna 'farruKH'
tayyunat se hai wusat-e-nazar mahdud
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.