faza ka habs chirti hui hawa uThe
fazā kā habs chīrtī huī havā uThe
safar meñ dhuup hai bahut koī ghaTā uThe
phirā.e jism par mire vo uñgliyāñ aise
ki sāz-e-rūh merā aaj jhanjhanā uThe
jo aur kuchh nahīñ to jugnuoñ ko kar raqsāñ
siyāh shab zarā zarā sī jagmagā uThe
mirī tarah tamām log be-zabāñ to nahīñ
kisī taraf kisī jagah se mas.ala uThe
mirā futūr ḳhud sadā.eñ de mujhe manzil
qadam ko chūmne mire ye rāsta uThe
na jaane sohbatoñ meñ is kī kaisā hai nasha
ki dar se har ik shaḳhs jhūmtā uThe
karo to zindagī meñ aisā kuchh karo 'saurabh'
mirī nazar meñ terā yaar martaba uThe
faza ka habs chirti hui hawa uThe
safar mein dhup hai bahut koi ghaTa uThe
phirae jism par mere wo ungliyan aise
ki saz-e-ruh mera aaj jhanjhana uThe
jo aur kuchh nahin to jugnuon ko kar raqsan
siyah shab zara zara si jagmaga uThe
meri tarah tamam log be-zaban to nahin
kisi taraf kisi jagah se masala uThe
mera futur KHud sadaen de mujhe manzil
qadam ko chumne mere ye rasta uThe
na jaane sohbaton mein is ki kaisa hai nasha
ki dar se har ek shaKHs jhumta uThe
karo to zindagi mein aisa kuchh karo 'saurabh'
meri nazar mein tera yar martaba uThe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.