faza mein karb ka ehsas gholti hui raat
fazā meñ karb kā ehsās gholtī huī raat
havas kī khiḌkiyāñ darvāze kholtī huī raat
'ajīb rishte banātī hai toḌ detī hai
na.ī rutoñ ke safīroñ se boltī huī raat
ye dhaḌkanoñ ke añdhere ye zaḳhm zaḳhm charāġh
kivāḌ ḳhālī makānoñ ke kholtī huī raat
athāh gahrā añdherā ġhazab kā sannāTā
fazā meñ dard kā tezāb gholtī huī raat
kidhar se aatī hai āvāra ḳhushbuoñ kī tarah
barahna jism ke saa.e TaToltī huī raat
na ratjagoñ ke haiñ charche na koī ġham kā alaav
sambhal ke aa.e zarā ghar meñ Doltī huī raat
kahāñ se lā.eñge sabr-o-sukūn ke lamhe
ki mere ghar meñ hai kohrām taultī huī raat
hamāre saath hai tanhā.iyoñ kī bhiiḌ meñ 'rind'
kisī ke lams kī ḳhairāt roltī huī raat
faza mein karb ka ehsas gholti hui raat
hawas ki khiDkiyan darwaze kholti hui raat
'ajib rishte banati hai toD deti hai
nai ruton ke safiron se bolti hui raat
ye dhaDkanon ke andhere ye zaKHm zaKHm charagh
kiwaD KHali makanon ke kholti hui raat
athah gahra andhera ghazab ka sannaTa
faza mein dard ka tezab gholti hui raat
kidhar se aati hai aawara KHushbuon ki tarah
barahna jism ke sae TaTolti hui raat
na ratjagon ke hain charche na koi gham ka alaw
sambhal ke aae zara ghar mein Dolti hui raat
kahan se laenge sabr-o-sukun ke lamhe
ki mere ghar mein hai kohram taulti hui raat
hamare sath hai tanhaiyon ki bhiD mein 'rind'
kisi ke lams ki KHairaat rolti hui raat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.