faza mein KHush-gawar si jo bu thi aisi bas gai
fazā meñ ḳhush-gavār sī jo bū thī aisī bas ga.ī
havā ke jaal tan ga.e zamīñ kī Dor kas ga.ī
ḳhushī ke saare qāfile havā meñ jaise kho ga.e
chamak rahī thī dhuul jo zamīn par baras ga.ī
ye zindagī jo ā.inoñ ke jaal kā fishār thī
chalī thī raah DhūñDne ko maqtaloñ meñ phañs ga.ī
hazārhā baras hue ḳhalā meñ tairte hue
na jaane kis kī chaah thī zamīn bhī taras ga.ī
ye aur baat hai koī samajh sakā na 'hāfizī'
junūn-o-'aql-o-hosh tak zamīn kī havas ga.ī
faza mein KHush-gawar si jo bu thi aisi bas gai
hawa ke jal tan gae zamin ki Dor kas gai
KHushi ke sare qafile hawa mein jaise kho gae
chamak rahi thi dhul jo zamin par baras gai
ye zindagi jo aainon ke jal ka fishaar thi
chali thi rah DhunDne ko maqtalon mein phans gai
hazarha baras hue KHala mein tairte hue
na jaane kis ki chah thi zamin bhi taras gai
ye aur baat hai koi samajh saka na 'hafizi'
junun-o-'aql-o-hosh tak zamin ki hawas gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.