faza mein naghmagi kuchh kam hui hai
fazā meñ naġhmagī kuchh kam huī hai
har ik lab par hañsī kuchh kam huī hai
ye maanā TuuT kar barse haiñ bādal
magar kyā tishnagī kuchh kam huī hai
añdherā jab se phailā hai diloñ meñ
musalsal raushnī kuchh kam huī hai
vahī bāteñ vahī chehrā hai lekin
ġhazal meñ tāzgī kuchh kam huī hai
tumhāre dil se mere dil kī duurī
ḳhayāloñ meñ sahī kuchh kam huī hai
use shiddat se ab bhī chāhtā huuñ
magar dīvāngī kuchh kam huī hai
'nisār' āvāz jab bhī dī havā ne
guloñ kī be-ruḳhī kuchh kam huī hai
faza mein naghmagi kuchh kam hui hai
har ek lab par hansi kuchh kam hui hai
ye mana TuT kar barse hain baadal
magar kya tishnagi kuchh kam hui hai
andhera jab se phaila hai dilon mein
musalsal raushni kuchh kam hui hai
wahi baaten wahi chehra hai lekin
ghazal mein tazgi kuchh kam hui hai
tumhaare dil se mere dil ki duri
KHayalon mein sahi kuchh kam hui hai
use shiddat se ab bhi chahta hun
magar diwangi kuchh kam hui hai
'nisar' aawaz jab bhi di hawa ne
gulon ki be-ruKHi kuchh kam hui hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.